Reciter: Mir Hasan Mir

Ya Bab E Hawaij Moula Ya Baab E Hawaij Moula

Haye Imam Kazim Imama

Mazdooron Ky Kandhon Par Kazim Ka Janaza Hai
Baghdad Ky Qaidi Par Zindan Bhi Rota Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Us Dard Ny Turbat Mein Sajjad Ko Tarhpaya
Zindan Sy Nikal Kar Bhi Azad Na Ho Paya
Hai Pehla Janaza Jo Zanjeeron Mein Jakra Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Zanjeeron Ko Takti Hai Shanon Ko Hilati Hai
Mayyat Ko Kabhi Apni Goudi Mein Uthati Hai
Ek Hath Hai Pehloo Par Lagta Hai Yeh Zahra Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Zarry Bhi Lahoo Ro Kar Roodad Sunaty Hain
Qadmon Ky Nishan Is Ky Zindaan Mein Bataty Hain
Yeh Nazaa Ky Alam Mein Kis Tarha Sy Tarhpa Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Jo Log Guzarty Hain Aaps Mein Yeh Kehty Hain
Ghar Waly To Yasrab Mein Is Qaidi Ky Rehty Hain
Phir Is Ky Janazy Par Yeh Kon Zaeefa Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Kehti Hai Koi Bibi Hai Waqt Museebat Ka
Ab Jald Madiney Sy Aa Ja Ay Raza Aa Ja
Bey Gor O Kafan Kab Sy Beta Tera Baba Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Har Roz Hi Jati Hai Woh Turbat E Zahra Par
Ja Kar Wahan Kehti Hai Masooma E Qom Ro Kar
Dadi Mery Baba Ko Kya Aap Ny Dekha Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Shabbir Ki Ghurbat Ka Noha Yeh Sunaty Hain
Sookhy Huye Lab Is Ky Ummat Ko Bataty Hain
Is Ny Bhi Dam E Akhir Pani Nahi Paya Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Ghurbat Hai Takallum Yeh Shabbir Ki Ghurbat Si
Ek Beti Hai Yasrab Mein Sughra Ki Tarha Is Ki
Is Wasty Mayyat Ka Rukh Sooye Madina Hai

Mazdooron Ky Kaandhon Par Kazim Ka Janaza Hai

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply