Reciter: Farhan Ali Waris
Haye Woh Bey Kasi
Maqtal Say Lasha E Qasim
Bhai Hassan Ki Yad Satanay Lagi
Zainab Nay Ro Kay Lasha E Qasim Py Ki Quba
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Kal Tera Jigar Tukrhon Mein Bata Tha
Aaj Tera Qasim Tukrhon Mein Bat Gaya
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Duniya Nay Tujh Ko Chain Say Rehnay Nahi Diya
Tujh Ko Zehr Diya Yeh Sitam Khatm Na Hua
Yeh Zulm Zulm Chaltay Chaltay Qasim Tak Aa Gaya
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Ummat Nay Teray Sath Barha Zulm Yeh Kiya
Tukrhay Hua Kalaija Tera Waa Museebata
Maqtal Mein Tera Qasim Tukrhon Mein Batt Gaya
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Tha Chand Fatima Ki Sitam Ki Ghataon Mein
Ghar Say Chala Janaza To Teeron Ki Chaaon Mein
Qasim Ka Lasha Dhoop Mein Pamaal Ho Gaya
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Tujh Par Salam Ay Meray Mazloom Tar Akhi
Qasim Ki Tarbiyat Mein Kami Koi Na Rakhi
Akbar Say Pehlay Sheh Py Qurban Ho Gaya
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Lekin Tujhy Kafan To Muyassar Tha Bhai Jan
Qasim To Bay Kafan Hi Gaya Chorh Kar Jahan
Kiun Kar Na Meray Labb Py Har Dam Ho Yeh Bukaa
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Izn E Wighan Jab Hussain Say Mil Nahi Saka
Taweez Tera Sath Mein Laya Woh Meh Lakaa
Dill Thaam Kar Hussain Nay Bey Sakhta Kaha
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Paiwast Jitnay Teer Thay Taboot Mein Teray
Utnay Hi Zakhm Qasim E Dilgeer Ko Lagay
Farwa Ky Dill Py Aya Is Gham Say Marsiya
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima
Zainab Nay Ro Ky Mazhar O Farhan Yeh Kaha
Bhai Hasan Ka Dagh E Judai Hara Hua
Ahl E Haram Nay Lasha E Qasim Py Ki Buka
Wa Hassan Sabz Qaba Bey Khata Qasima