Reciter: Farhan Ali Waris

Haye Haye Haye Haye

Barsa Falak Say Khoon Laraznay Lagi Zameen
Aandhi Syaah Dasht E Bayaban Mein Chali
Yeh Waqt Bhi Qayamat E Kubra Say Kam Nahi
Jalti Zameen Pay Akhri Sajday Py Hai Jabeen
Bali Pay Maan Hussain Ki Aur Pusht Par Laeen
Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Sun Kar Duhaai Fatah E Badr O Hunain Say
Yeh Dasht Goonjta Hai Meray Shor O Shain Say
Akbar Ko Qatl Kar Ky Bhi Bethay Na Chain Say
Kya Dushmani Hai Tum Ko Meray Dill Ky Chain Say
Kya Bughz Tum Ko Ho Gaya Meray Hussain Say

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Subh E Daham Say Lashen Uthata Raha Yahan
Roya Hai Is Ghareeb Ki Ghurbat Py Aasmna
Bachay Shaheed Ho Gaya Maray Gaye Jawaan
Hathon Py Is Ky Qatal Hua Aik Bey Zabaan
Ab Is Ky Khoon Ky Pyasay Huye Khanjar O Sinaan

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Aaya Jo Qatal Gaah Mein Yeh Zulm Ka Aseer
Pursaan E Haal Tha Na Koi Aur Na Dastageer
Pathar Kisi Nay Maray Kisi Nay Sinaan O Teer
Naiza Kisi Nay Mara Chalay Kisi Nay Teer
Yeh Zulm Daikha Ronay Laga Khuld Ka Ameer

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Ghash Kha Ky Jo Ghorhay Py Jhuka Mera Dil Afgaar
Khooli Nay Lagai Sar E Mazloom Pay Talwar
Sar Thaam Ky Hathon Say Jo Seedha Hua Ek Baar
Bachi Kisi Laeen Ki Seenay Say Hui Paar
Tarr Ho Gaya Lahoo Say Badan Dill Hua Figaar

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Teeron Ki Nazar Chand Sa Seena Jo Ho Gaya
In Zaalimon Ney Seenay Ko Teeron Say Bhar Diya
Zeen Say Zameen Pay Anay Laga Jab Pisar Mera
Aaya Nahi Zameen Pay Teeron Pay Ruk Gaya
Is Zulm Par Bhi Reham Na Aya Tujhay Zara

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Ay Sang Dill Khuda Ka Payambar Ka Khaof Kar
Qassab Bhi Zabeehon Ko Zibha Say Thehar Kar
Itna To Pani Detay Hain Ho Jaye Halq Tarr
Zakhmon Say Choor Choor Hai Pyasa Mera Pisar
Khanjar Chalay Ga Kis Tarah Pyasay Kay Halq Par

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Zainab Hai Aik Rait Ky Teelay Pay Noha Gar
Manzar Yeh Daikhti Hai Sambhalay Huye Jigar
Ankhon Mein Ashk Labb Py Buka Aur Barehna Sar
Mar Jaye Gi Woh Khuahar E Mazloom Daikh Kar
Tann Say Juda Na Kijiyo Is Waqt Sheh Ka Sar

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Tarhpay Zameen Pay Khak Urhatay Huye Haider
Aaiin Khadeeja Aur Payambar Bhi Noha Garr
Sayedaniyon Mein Bayn Dar E Khaima Py Dukhtar
Nazdeek Tha Woh Waqt Keh Kat Jaye Sheh Ka Sar
Zehra Nay Gala Rakh Diya Baitay Kay Galay Par

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Mazhar Kahan Say Laun Main Woh Taqat E Bayan
Main Likh Sakun Shahadat E Mazloom Ab Yahan
Hamraah Meray Ronay Lagay Saaton Aasman
Farhan Hi Nahi Yeh Qalam Bhi Hai Noha Khuwan
Baitay Ko Qatal Hotay Huye Daikhti Thi Maan

Kehti Thi Maan Thehar Zara Shimr Thehar Ja
Do Boond Meray Bachay Ko Pani To Pila Day

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply