Reciter: Farhan Ali Waris
Aik Din Madar E Abbas Nay Zainab Say Kaha
Ek Sawal Aap Say Shahzadi Main Kar Sakti Hun Kya
Roti Rehti Hun Bahut Jab Say Yeh Ehwaal Suna
Us Ky Bazu Thy Juda Aur Sar Bhi Zakhmi Tha
Zainab Yeh Mera Kesay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Kesay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Aray
Qayeda Yeh Hai Balandi Say Jo Girta Hai Koi
Apnay Hathon Say Woh Karta Hai Hifazat Apni
Us Gharhi Hath To Ghazi Ky Meray Thay Hi Nahi
Bas Yehi Soch Ky Is Maan Ka Jigar Phatny Laga
Zainab Yeh Bata
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Aray
Gurz Kay Lagnay Say Sar Say Bhi Lahu Behta Tha
Teer Paiwast Thay Ankhon Mein Sitam Kaisa Tha
Apni Ghurbat Py Woh Bey Dast Jari Rota Tha
Jism Sara Tha Meray Laal Ka Teeron Say Bhara
Zainab Yeh Bata
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Aray
Sun Ky Yeh Baat Mera Qalb O Jigar Zakhmi Tha
Khoon Behta Tha Bahut Mera Pisar Zakhmi Tha
Mujh Ko Abid Nay Bataya Hai Keh Sar Zakhmi Tha
Sans Kis Tarah Say Seenay Mein Theharta Ho Ga
Zainab Yeh Bata
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Ary
Maan Hun Main Janti Hun Waqt Woh Kaisa Ho Ga
Khoon Pani Ki Tarah Zakhmon Say Behta Ho Ga
Phir Bhi Dill Mashk E Sakina Mein Dharhakta Ho Ga
Mar Gaya Ho Ga Usi Waqt Jo Mashkeeza Chida
Zainab Yeh Bata
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Aray
Kaisay Farhan Parhay Kaisay Likhay Zill E Raza
Apna Munh Peet Ky Ronay Lagi Bint E Zehra
Us Gharhi Ahl E Haram Mein Hua Kohram Bapa
Jis Gharhi Maadar E Abbas Nay Ro Kar Poocha
Zainab Yeh Bata
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Kaisay Abbas Mera Zeen Say Zameen Par Aaya
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas