Reciter: Mir Hasan Mir

Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bey Parda
Sinan Sy Sar Na Giraye To Kiya Karay Abbas

Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bay Parda

Padar Ki Lash Sy Us Ko Churhaya Jata Hai
Sitam Hai Naqy Py Tanha Bithaya Jata Hai
Rasan Mein Bali Sakina Ka Bandh Raha Hai Gala
Sinan Sy Sar Na Giraye To Kiya Karay Abbas

Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bay Parda

Woh Kis Tarah Sy Tasalli Dy Aa Ky Madar Ko
Kiya Hai Dasht Mein Do Bar Zibah Asghar Ko
Lehad Sy Aa Gaya Naizay Py Jism Asghar Ka
Sinan Sy Sar Na Giraye To Kiya Karay Abbas

Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bay Parda

Chupa Ky Balon Sy Munh Sharam Sar Hoti Hain
Woh Pusht E Naqa Py Ab Khud Sawar Hoti Hain
Yeh Kaisa Waqt Hai Zahra Ki Betion Py Parha
Sinan Sy Sar Na Giraye To Kiya Karay Abbas

Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bay Parda

Dehan Lasha E Shabbir Sy Hatana Tha
Dobara Syed E Sajjad Ko Bachana Tha
Giri Hai Naqy Sy Maqtal Mein Sani E Zahra
Sinan Sy Sir Na Giraye To Kya Karay Abbas

Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bay Parda

Kahin Py Qasim O Akbar Kahin Py Aun Ka Sar
Kahin Hai Laal Ruqaiyya Ky Aur Kahin Asghar
Do Bachay Naizon Py Hain Goud Mein Jinhen Pala
Sinan Sy Sar Na Giraye To Kya Karay Abbas

Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bay Parda

Hain Neel Chehry Py Itny Tamanchy Mary Hain
Laeen Ny Khainch Ky Kaanon Sy Durr Utary Hain
Hai Dono Kaanon Sy Masoom Ky Lahoo Behta
Sinan Sy Sar Na Giraye To Kiya Karay Abbas

Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bay Parda

Sar Us Ka Kaisy Sinaan Par Koi Utha Ky Chaly
Jo Sheh Ky Samny Nazren Sada Jhuka Ky Chaly
Ha Ka Zameer Takallum Hai Us Ki Ghairat Ka
Sinan Sy Sar Na Giraye To Kiya Karay Abbas

Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas Haye Haye Abbas

Rasan Mein Hath Bandhy Hain Behan Hai Bay Parda

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply