Reciter: Mir Hasan Mir
Hal Min Nasir Yansurna
Ya Zainab Ya Zainab
Labaik Ya Zainab
Labaik Labaik Labaik Ya Zainab
Aa Rahi Hai Roza E Zainab Sy Hal Min Ki Sada
Ghir Gai Hai Shamion Mein Phir Sy Aal E Mustafa
Waqt Rony Ka Nahi Yeh Waqt Hai Labbaik Ka
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Zainab
Aa Rahi Hai Roza E Zainab Sy Hal Min Ki Sada
Kuch Nahi Zainab Sy Barh Kar Yeh Batana Hai Hamen
Fatima Zahra Ko Ek Din Munh Dikhana Hai Hamen
Rokna Hai Jo Baqaiyya Sy Chala Hai Silsila
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Zainab
Aa Rahi Hai Roza E Zainab Sy Hal Min Ki Sada
Rony Waly Karbala Par Us Ky Dil Ki Aas Hain
Matami Un Ki Nazar Mein Bazo E Abbas Hain
Maan Rakhna Hai Hamen Ab Khuahar E Shabbir Ka
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Zainab
Aa Rahi Hai Roza E Zainab Sy Hal Min Ki Sada
Kal Bhi Us Ny Dukh Uthaye Thi Magar Dharas Usy
Ghairat E Abbas Ban Kar Sath Mein Sajjad Hai
Aaj Tanha Reh Gai Hai Bani E Farsh E Aza
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Zainab
Aa Rahi Hai Roza E Zainab Sy Hal Min Ki Sada
Kehty Hongy Shah Sy Abbas Yeh Roty Huye
Main Katy Hathon Sy Bhi Larh Lun Ga Faoj E Shaam Sy
Bas Mujhy Ek Bar Mola Izn Kar Dijiye Ata
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Zainab
Aa Rahi Hai Roza E Zainab Sy Hal Min Ki Sada
Haye Haye Zainab Haye Haye Shaam
Chalny Ki Jo Aadi Na Thi Paidal Wohi Meelon Chali
Durry Kabhi Pathar Kabhi Khati Rahi Bint E Imam
Haye Haye Zainab Haye Haye Shaam
Jany Sitam Kaisa Hua Chehra Lahoo Sy Chup Gaya
Bint E Ali Sy Bap Ka Lety Thy Shaami Inteqam
Haye Haye Zainab Haye Haye Sham
Akbar Kary Kaisy Bayan Deta Hai Jab Koi Azan
Lagti Hai Seeny Par Sinaan Ata Hai Jab Akbar Ka Nam
Haye Haye Zainab Haye Haye Sham