Reciter: Tejani Brothers

Maula Maula Maula Maula Mere

Dill Ky Sultan Tu Hai Quran
Jism O Jaan Tujh Py Qurban
Hai Yak Zubaan Ahl E Emaan
Maula Maula Maula Mere

Yeh Khoon Mein Racha Basa Ishq E Ali Hi Hai
Jo Har Aan Labon Par Aik Hi Sada Hai

Labbayk Ya Maula

Awwalona Muhammad Aosatona Muhammad Akhirona Muhammad Kullona Muhammad

Labbayk Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Ali Ya Ali

Doodh Mein Ishq E Ali Maan Ny Pilaya Hai Hamen
Aur Phir Nad E Ali Parhna Sikhaya Hai Hamen
Darr Kabhi Aye Ga Na Hum Ko Na Aya Hai Hamen
Maot Sy Jeetna Karbal Ny Bataya Hai Hamen
Zindagi Dena Hai Sadiyon Sy Hamara Shaiwa
Ishq E Haider Mein Bahayen Gy Lahoo Ka Dariya
Jaan Apni Hai Nisar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Labb Py Ho Gi Yeh Sada

Labbayk Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Ali Ya Ali

Hum Ko Hai Fakhr Keh Kehlaty Hain Hum Tere Shia
Dast E Haider Ko Utha Kar Yeh Nabi Ny Tha Kaha
Jis Ka Main Maula Hun Us Ka Hai Ali Bhi Maula
Aur Koi Hai Nahi Pehla Isi Haider Ky Siwa
Woh Bharhak Jaty Hain Jo Karty Hain Un Sy Nafrat
Jo Bhi Haq Manty Hain Milti Hai Un Ko Jannat
Jaan Apni Hai Nisar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Labb Py Ho Gi Yeh Sada

Labbayk Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Hussain Saar Allah

Asr E Ashoor Ka Hai Yad Abhi Tak Manzar
Ruk Gaya Sheh Ka Badan Teeron Ky Musallay Par
Shimr Ahista Chalata Tha Galy Par Khanjar
Khaimy Sy Dekh Ky Roti Thi Ali Ki Dukhtar
Rann Mein Pamal Hua Ghorhon Ky Taapon Sy Badan
Apny Khoon Sy Mery Maula Ny Sajaya Tha Bann
Jan Apni Hai Nisaar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Lab Py Ho Gi Yeh Sada

Labbayk Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Hussain Saar Allah

Khoon Mein Aalooda Maula Sar E Dasht E Qitaal
Dy Ky Halmin Ki Sada Hum Sy Yeh Poocha Tha Sawa
Zindagi Apni Bita Sakty Ho Tum Meri Misal
Dety Hain Hum Yeh Sada Ap Ko Zahra Ky Laal
Ap Ka Ishq Hamara Hi Sahara Ho Ga
Hashr Tak Labb Py Musalsal Yehi Nara Ho Ga
Jan Apni Hai Nisaar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Lab Py Ho Gi Yeh Sada

Labbayk Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Ghazi Ya Abbas

Aaj Tak Sheh Ka Alamdar E Wafa Ho Abbas
Tishna Lab Bachon Ka Saqqa Jo Raha Wo Abbas
Nehr Py Jis Ny Alam Garh Diya Woh Abbas
Jis Ky Bazu Bibi Zainab Ki Rida Wo Abbas
Boo Bahoo Haider E Karrar Hai Yeh Shair E Jari
Bibi Ny Jis Ky Liye Dil Sy Dua Mangi Thi
Jan Apni Hai Nisaar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Lab Py Ho Gi Yeh Sada

Labaik Ya Moa Ya Moula Ya Maola

Ghazi Ya Abbas

Jaata Hai Jo Bhi Ziyarat Ky Liye Karbobala
Us Ka Ban Jata Hai Zamin Maula Abbas Mera
Koi Mushkil Ya Pareshani Ho Ya Ho Khatra
Sar Py Har Waqt Hifazat Ka Rahy Ga Saya
Aaj Tak Hai Jo Kharha Sheh Ka Muhafiz Ban Kar
Roo Baroo Roza Hai Phir Bhi Woh Jhukata Hai Sar
Jan Apni Hai Nisaar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Lab Py Ho Gi Yeh Sada

Labbaik Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Ali Ya Sajjad

Qaid Khany Mein Parhi Hai Yeh Aza Ki Bunyad
Pehli Majlis Bapa Karwaty Hain Aisy Sajjad
Khoon Ky Aansu Ko Bahaty Hain Joon Hi Kar Ky Yad
Paon Mein Bairhian Aur Lab Py Hai Bus Ek Faryad
Sar Ko Wo Peet Ky Chillaty Hain Ash Shaam Ash Shaam
Hosh Urh Jata Hai Jab Sunty Hain Shabbir Ka Naam
Jan Apni Hai Nisaar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Lab Py Ho Gi Yeh Sada

Labbayk Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Al Ajal Ya Mahdi

Subh O Sham Bhejty Hain Tery Muhib Tum Py Salam
Aur Dua Karty Hain Ho Jald Zahoor Mery Imam
Zulm Aur Jaor Zamanay Mein Hua Hai Ab Aam
Aap Ko Zalimon Ko Dena Hai Un Ka Anjaam
Kaash Hum Aap Ky Ansaaron Mein Bhi Hon Shamil
Zindagi Ka Hai Yeh Maqsad Hai Hamari Manzil
Jan Apni Hai Nisaar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Lab Py Ho Gi Yeh Sada

Labbayk Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Al Ajal Ya Mahdi

Momino Ky Liye To Farsh E Aza Hai Jannat
Kabhi Na Kehna Azadari Ko Har Giz Bid’at
Rona Shabbir Py Hai Pyary Nabi Ki Sunnat
Munkir E Shah Kiun Karty Hain Aza Sy Nafrat
Han Tejani Dil E Zahra Ki Dua Hai Giriya
Akhri Saans Talak Parhty Rahen Gy Noha
Jan Apni Hai Nisaar Zindagi Tujh Py Fida
Maot Jab Aye Hamen Lab Py Ho Gi Yeh Sada

Labbayk Ya Maula Ya Maula Ya Maula

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply