Reciter: Farhan Ali Waris

Dama Dam Mast

Lal Qalandar Ka Hai Mela

Nara Maray Mast Qalandar
Ali Ali Ali Ali
Tu Hai Jahan Mein Pehla Number
Ali Ali Ali Ali

Jhoolay Laal Jhoolay Jhoolay Jhoolay Laal

Jisay Manay Ali Jisay Janay Ali
Woh Hai Shan E Ali Dil O Jan E Ali
Jisay Sab Nay Apna Mana Hai

Chalo Chalo Lal Qalandar Ka Saja Mela Hai

Noor Hi Noor Say Roshan Hai Zameen Sehwan Ki
Nara E Mast Qalandar Say Fiza Jhoom Uthi
Ankh Jati Hai Jidhar Sar Hi Sar Ayen Nazar
Rahay Abad Yeh Darr Yani Rindon Ka Nagar

Karmon Wali Zameen
Rindon Wali Zameen
Maston Wali Zameen
Sajdon Wali Zameen
Yahan Aal Ka Sadqa Milta Hai

Chalo Chalo Lal Qalandar Ka Saja Mela Hai

Jiye Jiye Lal Qalandar Jiye Jiye Lal

Jiye Jiye Jiye Jiye Lal Qalandar

Kahin Langar Kahin Sharbat Kahin Pani Ki Sabeel
Seekh Par Chamka Pharaira Meray Murshid Ki Daleel
Aao Zawwaro Chalen Apnay Daman Ko Bharen
Jo Kisi Say Na Kaha Lal Saeen Say Kahen

Door Ho Jayen Gham
Saray Ranj O Alam
Rakh Day Sar Py Meray
Apna Dast E Karam
Har Mangnay Wala Kehta Hai

Chalo Chalo Lal Qalandar Ka Saja Mela Hai

Saeen Qalandar
Sanson Ka Haseen Rizq Hai Yeh Naam E Qalandar
Maston Ki Ghiza Aaj Ki Shab Jam E Qalandar
Is Jashn Mein Is Waqt Woh Mahol Hai Shaukat
Naslen Na Bhula Payen Gi Yeh Sham E Qalandar

Maula Maula Sakhi Sardar Qalandar Maula

Ali Ali Ali

Nara Maray Mast Qalandar
Ali Ali Ali Ali
Tu Hai Jahan Mein Pehla Number
Ali Ali Ali Ali

Jiye Jiye Jiye Jiye Lal Qalandar

Jo Bhi Yeh Urs Qalandar Ka Mananay Aya
Koi Mehndi Koi Chadar Ky Charhaway Laya
Kaisa Khushiyon Ka Samaan Aaj Dikhta Hai Yahan
Taal Dhamal Ki Haan Hai Mawadat Ki Azaan

Kahin Nara Lagay Kahin Nobat Bajay
Kahin Wajd Mein Aatay Hi Koi Kahay
Yahan Meray Sakhi Ka Jalwa Hai

Chalo Chalo Lal Qalandar Ka Saja Mela Hai

Jan Dy Dy Ky Yahan Sab Ny Ibadat Ki Hai
Meray Murshid Ny Dilon Par Jo Hukoomat Ki Hai
Kitnay Fatway Bhi Lagay Bum Dhamakay Bhi Huye
Phir Bhi Saeen K Liye Hum Yahan Atay Rahay

Ruk Na Payen Qadam Jhuk Na Paye Alam
Hum Nay Khai Qasam Roz Ayen Gay Hum
Teray Darr Py Sukoon Aisa Hai

Chalo Chalo Lal Qalandar Ka Saja Mela Hai

Jiye Jiye Lal Qalandar Jiye Jiye Lal

Jiye Jiye Jiye Jiye Lal Qalandar

Aaj Ghar Ghar Jo Nazar Atay Hain Ghazi Ky Alam
Lal Saeen Ki Badolat Hai Isi Darr Ki Qasam
Sun Lo Nobat Ki Sada Yeh Batati Hai Pata
Hai Zamanay Mein Wafa Hai Isi Darr Ki Adaa

Yeh Wafayen Rahen Yeh Sadayen Rahen
Yeh Adayen Rahen Yeh Duayen Rahen
Meray Labb Py Yehi Nara Hai

Chalo Chalo Lal Qalandar Ka Saja Mela Hai

Lal Saeen Nay Bulaya Hai Wahan Mazhar Ko
Chalo Farhan Zamanay Ko Wahan Lay Ky Chalo
Jayen Zawwar Sabhi Apnay Murshid Ki Gali
Dill Mein Ly Kar Yeh Khushi Bigrhi Taqdeer Bani

Aisi Rahguzar Tum Nay Daikhi Kidhar
Jo Bhi Aya Idhar Kholay Qismat Kidhar
Baray Karam Wali Mela Hai

Chalo Chalo Lal Qalandar Ka Saja Mela Hai

Nara Maray Mast Qalandar
Ali Ali Ali Ali
Tu Hai Jahan Mein Pehla Number
Ali Ali Ali Ali

Jiye Jiye Jiye Jiye Lal Qalandar

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply