Reciter: Farhan Ali Waris
Abbas Abbas Abbas
Kis Shair Ki Amad Hai Keh Ran Kanp Raha Hai
Ran Aik Taraf Charkh E Kohan Kanp Raha Hai
Rustam Ka Badan Zair E Kafan Kanp Raha Hai
Har Qasr E Salateen E Zaman Kanp Raha Hai
Shamsheer Bakaf Daikh Ky Haider Ky Pisar Ko
Jibreel Laraztay Hain Samaitay Huye Parr Ko
Shair E Ali Ki Amad Hai Yeh
Atay Hain Dariya Pay Aladmar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Atay Hain Dariya Pay Alamdar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Jab Chala Mashk O Alam Lay Kar Woh Saqqa E Haram
Tha Ali Jaisa Hi Alamdar Ka Jaah O Hasham
Keh Utha Dariya Hai Is Ky Pas Haider Ka Alam
Chorh Day Sahil Ko Pehraydaar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Atay Hain Dariya Pay Alamdar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Al Amaan Ka Shor Utha Yak Ba Yak Maidan Mein
Yun Laga Keh Gir Hi Jaye Ga Falak Maidan Mein
Maot Ka Nara Yeh Goonja Door Tak Maidan Mein
Aa Gaye Kya Haider E Karrar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Atay Hain Dariya Pay Alamdar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Taigh Say Likhay Ga Yeh Jarrar Qissa Maot Ka
Aik Pal Tootay Ga Nah Aahdaa Say Rishta Maot Ka
Hai Faras Tera Sar E Maidan Farishta Maot Ka
Aaj Tu Hai Barsar E Paikar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Atay Hain Dariya Pay Alamdar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Har Qadam Rahwar Ky Hamrah Chalti Hai Qaza
Hai Dhamak Aisi Larazta Hai Yeh Dasht E Nainawa
Ab Teri Talwar Say Pani Piye Gi Alqama
Hain Khudai Faoj Ky Salaar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Atay Hain Dariya Pay Alamdar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Zulf Hai Tool E Shab E Mairaj Ki Tasweer Si
Hai Jabeen E Naaz Koh E Toor Ki Tanveer Si
Hai Teri Nazron Mein Taizi Haideri Shamsheer Si
Han Teri Amad Ki Ay Jarrar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Atay Hain Dariya Pay Alamdar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Shimr Ky Jab Samnay Aaya Ali Ka Laadla
Ghaiz Aya Aasteenon Ko Ulat Kar Yeh Kaha
Kya Kya Larhay Hain Khaibar O Badr O Tabook Mein
Yeh Hath Pyas Mein Na Rukay Hain Na Bhook Mein
Shohrat Hai Apni Jood O Sakha Ki Mulook Mein
Hatim Say Bhi Sakhi Hain Siwa Hum Sulook Mein
Bighrhay Hain Jab To Khoon Ky Dariya Bahaye Hain
Sar Dy Diya Hai Bat Pay Jis Waqt Aye Hain
Jang Aazma Hain Saff Shikan O Qala Geer Hain
Haibat Mein Dabdabay Mein Adeem Un Nazeer Hain
Duniya Ky Badshah Hain Gardoon Sareer Hain
Is Aoj Par Hussain Ky Dar Ky Faqeer Hain
Rutbay Pay Fakhar Hai Na Shaja’at Py Naaz Hai
Gar Hai To Bas Ghulami E Hazrat Pay Naaz Hai
Tab Shimr Nay Kaha Keh Fasahat Say Kya Husool
Bayat Unhen To Sulah Hamen Bhi Nahi Qubool
Ghazi Pukara O Najis O Murtad O Jahool
Leecho Na Munh Say Naam E Jigar Gosha E Batool
Samjha Hai Kya Imam E Iraq O Hijaz Ko
Kurti Say Khainch Lun Ga Zaban E Daraz Ko
Tu Kya Hai Aur Kya Hai Tera Woh Ameer E Sham
Kartay Hain Badshah Kahin Bayat E Ghulam
Tu Bhi Namak Haram Hai Woh Bhi Namak Haram
O Bay Adab Yazeed Kuja Aur Kuja Imam
Dozakh Say Door Rehtay Hain Saakin Bahisht Kay
Kaaba Kabhi Jhuka Nahi Aagay Ganisht Kay
Suntay Hi Us Shair Ki Lalkaar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Atay Hain Dariya Pay Alamdar
Lashkar Mein Barhi Dhoom Hai
Masroof Thay Jihad Mein Abbas E Bawafa
Nagaah Aai Khaimay Ki Deohrhi Say Yeh Sada
Kya Ab Sakina Pyasi Hi Mar Jaye Ay Chacha
Kab Tak Larho Gay Faoj Say Bas Ho Chuki Wigha
Sookhay Huye Labon Py Meri Jaan Aai Hai
Ay Noor E Chashm E Saqi E Kausar Duhaai Hai
Al Qissa Pahuncha Sahil E Dariya Py Bawafa
Ahdaa Say Dariya Cheen Ky Mashkeeza Bhar Liya
Mashk O Alam Sambhal Kay Khaimon Ka Rukh Kiya
Barsay Woh Teer Mashk Chidi Aur Alam Gira
Pani Na Pahuncha Pyason Ko Ay Waaye Alqama
Bazu Kata Kay Shair Bhi Dariya Pay So Gaya
Ay Mazhar O Farhan Qayamat Hui Bapa
Hathon Say Kamar Tham Kay Aaye Shah E Huda
Bhai Ko Zakhmi Daikh Kay Noha Yehi Kiya
Kya Hai Keh Ankh Band Kiye Ho Haya Say Tum
Kya Kuch Khafa Ho Sibt E Rasool E Khuda Say Tum
Aksar Hamen Bachatay Thay Loo Say Hawa Say Tum
Hur Att Gaye Hain Gard To Jharho Qabaa Say Tum
Hai Do Pahar Ka Waqt Baradar Py Dhoop Hai
Aray Saya Karo Alam Ka Meray Sar Py Dhoop Hai
Meray Sar Pay Dhoop Hai