Khairilamal

Ya Rab Behaq E Zehra Lyrics Farhan Ali Waris Noha 2011

Language: Urdu
Reciter: Farhan Ali Waris
Recitation Type: Noha
Year: 2011

Ya Rab Behaq E Zehra Lyrics written in english text and recited by noha khuwan Farhan Ali Waris in 2011. View Farhan Ali Waris noha lyrics similar to lyrics of Ya Rab Behaq E Zehra on Khairilamal.

Ya Rab Behaq E Zehra Lyrics by Farhan Ali Waris in English text

Ya Rab Ul Mashraqain Ya Rab Ul Maghrabain

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ataa Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Jo Arz E Karbala Hai Har Arz Say Siwa Hai
Is Khak E Karbala Mein Sheh Ka Lahoo Mila Hai
Har Laa Dawa Maraz Ki Yeh Khak Hi Dawa Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rabb Deedar E Karbala Ho

Main Bhi To Matami Hun Zakir Hun Syeda Ka
Noha Parha Hai Mainy Ham Shakal E Mustafa Ka
Is Zakiri Ka Meri Qismat Mein Yeh Sila Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Namaz E Shab Mein Bas Yeh Dua Karun Main
Kuch Dair Us Zameen Par Majlis Bapa Karun Main
Har Matami Kay Lab Par Har Dam Yehi Dua Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Mazloomiyat Pay Jis Ki Rota Hai Yeh Zamana
Us Bey Khata Kay Darr Par Ek Bar To Hai Jana
Jo Qarz Hai Lahu Par Woh Is Tarah Adaa Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Woh Sar Zameen Jahan Par Goonji Azan E Akbar
Allah O Akbar

Woh Sar Zameen Jahan Par Goonji Azan E Akbar
Tasbeeh Hi Aansuon Ki Parhni Hai Us Zameen Par
Ek Sajda E Aqeedat Us Khak Par Ataa Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Qurban Ho Gaya Jo Kulsoom Ki Dua Par
Roza Main Us Ka Daikhun Jo Mar Gaya Wafa Par
Gar Yeh Sharaf Bhi Meri Taqdeer Mein Likha Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Nanhi Si Jis Lehad Mein Sotay Hain Ab Bhi Asghar
Us Par Charhaun Ga Main Phoolon Ki Aik Chadar
Pursa Wahan Ho Aisa Pehlay Nahi Hua Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Subh E Dahum Falak Say Barsa Lahu Jahan Par
Ibn E Hassan Ka Lasha Tha Char Soo Jahan Par
Aazaon Ki Jaga Par Farsh E Aza Bicha Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Hurr Aon Aur Muhammad Bey Sar Jahan Huye Thay
Ansaar O Aqraba Kay Bikhray Jahan Thay Lashay
Pursa Wahan Main Dun Ga Gar Rooh E Fatima Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Sajda Jahan Kiya Tha Mazloom E Karbala Nay
Jharha Tha Jis Zameen Ko Baalon Say Sayeda Nay
Jab Main Wahan Pay Jaun Honton Pay Dam Ruka Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Jis Khak Ki Fazeelat Kaabay Say Bhi Siwa Hai
Sajda Har Ek Nabi Nay Jis Khak Par Kiya Hai
Sajda Wahan Karun Main Zehra Ki Gar Ataa Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Farhan Lafz Meray Detay Hain Yeh Sadayen
Har Majlis E Aza Mein Karta Hun Yeh Duayen
Bas Mazhar Abidi Par Yeh Akhri Ataa Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Ya Rab Behaq E Zehra Tofeeq Yeh Ata Ho
Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Marnay Say Pehlay Ya Rab Deedar E Karbala Ho

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *