Reciter: Shahid Baltistani
Sayeda Tahira
Haye Maa Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Tamanchay Khati Hai Beiton Ky Darmian Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maan Zahra
Kamar Ky Sath Shikasta Huye Hain Bazoo Bhi
Tumhari Tooti Nahi Sirf Paslian Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maan Zahra
Jo Sans Leti Hai Pehloo Mein Dard Barhta Hai
Keh Ab To Lay Bhi Nahi Sakti Hichkian Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Tamancha Mara Hai Zalim Ny Is Tarah Tum Ko
Zameen Py Toot Ky Bikhri Hain Baalian Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Hasan Hi Janay Keh Masjid Sy Ghar Tak Aty Huye
Tamanchay Kha Ky Giri Hai Kahan Kahan Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Chupaye Kaisy Ali Ki Nigah Sy Fizza
Tery Lahoo Sy Bhara Hai Tera Makaan Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Kuch Aur Barhti Hai Dushwari Sans Lenay Mein
Kahin Jo Sunti Hai Bachon Ki Siskian Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Ali Sy Pooch Rahay Hain Hussain Roty Huye
Kya Tazianay Ky Qabil Hai Meri Maan Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Gharib Maan Zahra
Koi Salam Ka Deta Nahi Jawab Usy
Hai Tanha Faateh Khaibar Ki Qadardaan Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Bacha Ky Lai Hai Khanjar Talay Sy Apna Imam
Barhi Ameer Thi Zainab Tumhari Maan Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Hussain Parhty Takallum Na Kiun Taly Khanjar
Tumharay Hath Py Durron Ky Thy Nishan Zahra
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Haye Maa Zahra