Reciter: Dasta e Imamia

Ya Zahra Ya Umme Abeeha

Ya Zahra Ya Siddiqa Ya Fatima Ya Marziya
Sayeada Ya Raziya Zoja E Shair E Khuda

 

Markaz E Bazm E Kisa Malka E Arsh E Ola
Kosar O Qadr E Khuda Rooh E Tasbeeh O Dua
Qibla E Arz O Sama Nashir E Qadr O Qaza
Salam Bar Zahra Salam Bar Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Hujjat E Noor E Khuda Takht E Wilayat Zahra
Farsh Par Qalb E Muhamad Ki Sadaqat Zahra
Sajda E Ishq E Khuda Ain E Ibadat Zahra
Markaz E Bazm E Kisa Ramz E Taharat Zahra

Salam Bar Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Ayat E Ishq E Khuda Noor E Wehdat Ki Zya
Teri Ek Nazr E Karam Jalwa E Lutf E Khuda
Arsh E Aala Ke Malak Hain Tere Dar Ke Gadaa
Lab Py Hai Teri Sana Jaan O Dil Tujh Py Fida

Salam Bar Zehra
Ya Zehra Ya Zehra Ya Zehra Ya Zehra

Sorah E Dehar Mein Mehraj E Sakhawat Zahra
Ta Abad Parda Nasheenon Ki Hidayat Zahra
Hashr Tak Deen E Muhammad Ki Wakalat Zahra
Ahl E Emaan Py Hai Dast E Inayat Zahra

Salam Bar Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Mashal E Noor E Azal Manba E Jood E Sakha
Rooh E Esaar O Wafa Wird E Tasleem O Raza
Kasrat E Khair Hai Tu Rijs Hai Tujh Sy Juda
Rabb E Akbar Ki Ataa Kon Hai Tere Siwa

Salam Bar Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Sham E Hasrat Mein Shafa’at Ki Basharat Zahra
Zor E Izhar Mein Haider Ki Fasahat Zahra
Dast E Karrar Ki Bey Taigh Shuja’at Zahra
Naara E Haq Ka Rajiz Sirr E Shahadat Zahra

Salam Bar Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Humsar E Shair E Khuda Chashma E Aab E Shafa
Arsh Par Takht Nasheen Farsh Par Bab E Shafa
Hurmat E Noor E Khuda Teri Pakeeza Rida
Dil Mein Ta Had E Nazar Char Soo Jalwa Numa

Salam Bar Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Ta Abad Haq Ky Saheefon Ki Ibarat Zahra
Jange Afkar Ki Bey Khaof Qayadat Zahra
Ghasibon Fitna Paraston Sy Bara’at Zahra
Ghalba E Jabr Mein Hai Rooh E Adalat Zahra

Salam Bar Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Leave a Reply