Reciter: Tejani Brothers

Jab Aseeraan E Karbala Qaid Sy Riha Ho Kar Karbala Pahunchy
To Bibi Zainab Ny Apny Bhai Ki Qabr E Mutahhar Par Giriya Karty Huye Kaha
Keh Ay Mery Maan Jaye
Hum Teri Sakina Ko Shaam Ky Zindaan Mein Chorh Aye Hain
Aur Teri Behan Tujh Sy Sharminda Hai
Mujhe Maaf Karna Bhai Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zindaan Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Maqtal E Karbobala Mein Hai Behan Noha Gar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zindan Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Pursa Lo Apni Sakina Ka Mery Maan Jaye
Jis Ko Armaan Tha Us Ko Hi Nahi Laa Paye
Ghar Chalo Kehti Rahi Akhri Dam Tak Haye
Us Ko Behlati Rahi Jaldi Chalen Gy Hum Ghar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zindan Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Dil Ko Bey Chain Kiye Deti Hain Us Ki Yaden
Hum Aseeron Ko Zubaanon Py Hai Us Ki Baten
Yad Mein Us Ki Guzarti Nahi Apni Raten
Us Ki Tasweer Phira Karti Hai Ankhon Mein Magar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zinda Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Kon Pardais Mein Hai Qabr Py Jany Wala
Kon Hai Shaam Dhaly Shama Jalanay Wala
Koi Humdard Nahi Gham Ka Bataany Wala
Mery Maan Jaye Bahot Khai Hain Hum Ny Thokar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zinda Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Bhai Jaan Aap Ko Bheja Hai Sakina Ny Salam
Apny Ammu Ky Liye Hain Yeh Bhateeji Ka Payam
Bujh Gai Pyaas Shikayat Ka Nahi Koi Kalam
Pani Ky Wasty Sharminda Hai Ammu Ro Kar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zinda Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Sham Ky Takht Py Betha Tha Yazeed E Azlam
Imtehan Aap Ki Ulfat Ka Liya Tha Jis Dam
Rakh Liya Paalny Waly Ny Muhabbat Ka Bharam
Woh Tarhapny Lagi Daman Mein Liye Aap Ka Sar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zinda Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Nanhi Si Jaan Ny Uthai Hain Jafayen Kya Kya
Ek Sharabi Ny Kaneezi Ky Liye Jab Maanga
Mera Sajjad Bhi Ghairat Sy Lahoo Ro Diya Tha
Barhi Hasrat Sy Hamen Dekh Rahi Thi Muztar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zinda Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Meri Khud Daar Sakina Ny Yehi Mujh Sy Kaha
Ay Phuphi Jab Mery Baba Ko Kafan Mil Na Saka
Yeh Phata Kurta Mera Ho Ga Kafan Behr E Khuda
Khoon Bhary Kurty Mein Hai Dafn Meri Khasta Jigar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zinda Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Ay Nigaar Aaj Bhi Hai Shaam Misal E Zindaan
Maqtal E Karbobala Mein Wahi Faryad O Fughaan
Kijiye Nohay Mein Tejani Usi Gham Ka Bayan
Aaj Bhi Kehti Ho Jaisy Yehi Zainab Ro Kar
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Chorh Kar Aai Hun Zinda Mein Sakina Ko
Maaf Karna Mujhe Maaf Karna

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply