Reciter: Shahid Baltistani
Haye Sakeena Haye Yateema
Haye Sakeena Haye Yateema
Haye Sakeena Haye Yateema
Sakeena Yateema Sakeena
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Mitna Baba
Mujh Ko Zalim Nay Kaneezi Mein Hai Manga Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Mainy Dadi Ki Tarah Itnay Masayeb Dekhey
Mainay Dadi Ki Tarah Itnay Masayeb Daikhay
Char Barson Mein Hi Lagti Hun
Char Barson Mein Hi Lagti Hun Zaeefa Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Jo Teri Lash Py Dorhatay Thay Ghorhay Ran Mein
Woh Tamanchon Sy Mujhay Detay Hain Pursa Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Kash Mar Jaun Main Asghar Ko Hi Rotay Rotay
Main Kahan Karti Hun Pani Ka Takaaza Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Poori Shiddat Say Mujhay Mara Tamancha Jis Nay
Us Ky Hathon Say Mera Chehra Hai Chota Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Unglion Ky To Kahin Par Hain Angoothi Ky Nishan
Kaisay Pehchano Gay Tum Beti Ka Chehra Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Is Qadar Sham Ky Zindaan Mein Tareeki Hai
Hath Apna Hi Nahi Mujh Ko Hai Dikhta Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Bhaiya Sajjad Say Nazren Na Milaiin Mainy
Mainay Bazar Mein Jab Khaya Tamancha Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Sham Walon Say Na Pani Na Kafan Mangun Gi
Main Na Ehsan Yahan Lun Gi Kisi Ka Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Rakh Kay Munh Baap Ky Sar Par Woh Pukari …
Ab Na Jagay Gi Kabhi Teri Sakeena Baba
Main Sakeena Hun Mera Dard Hai Itna Baba
Haye Sakeena Haye Yateema
Haye Sakeena Haye Yateema
Haye Sakeena Haye Yateema
Sakeena Yateema Sakeena