Reciter: Shadman Raza

Haye Akbar Haye Akbar Haye Akbar Haye Akbar

Jawan Ki Lash Py Ro Ro Kay Keh Rahay Thay Hussain
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Zakhm Dill Kay Dikhaun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Lash E Akbar Py Shah Jab Pahunchi
Dill Ko Hathon Sy Tham Kar Bolay
Teri Furqat Ny Ay Ali Akbar
Aag Dill Mein Meray Laga Di Hai
Aag Dill Ki Bhujaun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Tu Hai Karyal Jawan Hai Beta
Baap Tera Zaeef Hai Kitna
Noor Ankhon Ka Ho Gaya Rukhsat
Mujh Ko Ata Nahi Nazar Khaima
Lay Kay Khaimon Mein Jaun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Haye
Jis Nay Atthaara Saal Pala Tha
Kaisay Dekhay Gi Woh Tera Lasha
Teri Shadi Ka Tha Jisay Armaan
Kaisay Jhailay Gi Woh Tera Sadma
Maan Ko Teri Bataun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Bhai Behnon Ka Hai Ajab Rishta
Jis Ko Sani Kahin Nahi Milta
Ro Ky Sughra Ny Yeh Likha Akbar
Aik Dukhiya Ki Laaj Rakh Lena
Mar Gaya Tu Bataun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Dekh Aya Hai Qasid E Sughra
Raah Takti Woh Dukhi Behna
Tujh Ko Beemar Nay Bulaya Hai
Waada Sughra Ka Kiun Bhula Dala
Gham Yeh Dil Say Lagaun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Lutf Jeenay Mein Ab Kahan Akbar
Dill Sy Uthti Hai Yeh Fughan Akbar
Subh E Ashoor Di Thi Jo Tu Nay
Khoon Rulaye Gi Woh Azaan Akbar
Teri Soorat Bhulaun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisa
Akbar Mera Sehriayn Wala Akbar
Akbar Mera Sehriayn Wala Akbar

Haye
Jab Kaha Tu Nay Baba Adrikni
Tab Say Ek Pal Na Chain Paya Hun
Teray Lashay Talak Ali Akbar
Chal Kay Ghutnon Ky Ball Main Aya Hun
Beta Khud Ko Uthaun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriayn Wala Akbar
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Aisi Ghurbat Mein Munh Nahi Morha
Main Hun Tanha Mujhe Na Yun Chorho
Kya Guzarti Hai Baap Ky Dill Par
Gham Zada Dill Ko Yun Nahi Torho
Apni Ghurbat Bataun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Shadman Yeh Dua Hai Khaliq Say
Waqt Aisa Kisi Py Na Aye
Jaisa Mazhar Nay Likh Diya Manzar
Shah Kehtay Thy Bas Yehi Ro Kay
Zakhm Dill Kay Dikhaun Main Kaisay
Tera Lasha Uthaun Main Kaisay
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar
Akbar Mera Sehriyan Wala Akbar

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply