Reciter: Mesum Abbas
Haye Akbar Haye Akbar
Haye Haye Akbar
Haye Haye Akbar
Hayee….
Maqtal Mein Jab Gira, Shah E Dee’n Ka Jawa’n Pisar
Are Ghash Kha Ke Gir Pare, Shah E Laulak Khaak Par
Are Sadma Wo Tha Ke Kuch Unhe, Ata Na Tha Nazar
Manzar Bata Rahi Hai, Riwayaat Mautbar
Hayee..
Apne Pisar Ki Laash Pe Shabbir Gir Gaye
Shaana Hila Ke Laash Ka, Ye Puchne Lage
Tere Jaisa Hi Uska Seena Hai
Mere Akbar Ko..
Hayee….
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Tere Jaisa Hi Uska Seena Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Kaise Tujhko Lagi Hai Ye Barchhi
Kya Khabar Ye Tere Padar Ko Mili
Haye…main To Be Maut Mar Gaya Hota
Mere Akbar Ko Jo Lagi Hoti
Jaane Kyu Dil Mera Taraapta Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Hayee..mujhko Maloom Hai Wo Zakhmi Hai
Fauj Ye Uske Khoo’n Ki Piyasi Hai
Tere Seene Pe Jo Lahoo Hai Laga
Us Lahoo Main To Khusboo Uski Hai
Wo Yaqeenan Yahan Se Guzra Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Tu Nahi Usko Janta Hai Agar
Mujhko Pura Yaqeen Hai Is Par
Usko Jo Dekhe Bhoolta Hi Nahi
Is Qadar Wo Hasee’n Hai Mera Pisar
Chaudhawe Chand Jaisa Chehra Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Maine Usko Kaha Tha Aye Beta
Mujhko Mur Mur Ke Dekhte Jana
Haan Magar Is Tarah Gaya Hai Wo
Phir Palat Kar Kabhi Nahi Aya
Maine Har Simt Usko Dhoondha Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Haye.. Jab Wo Zee’n Se Zamee’n Pe Aya Hai
Aakhri Baar Usko Dekha Hai
Haye Binayi Ja Chuki Meri
Ab Mera Din Mein Haal Aisa Hai
Mere Charo’n Taraf Andhera Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Main Jo Awaz Doon Wo Aayega
Haan..aa Ke Mujhko Gale Lagayega
Par Main Awaz Yun Nahi Deta
Apne Zakhmo’n Ko Wo Chupayega
Hai Bahadur Ali Ka Poota Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Aur Ye Soch Kar Bhi Main Chup Hoon
Wo Na Dekhe Jo Larkhara Ke Giroo’n
Haan..apni Quwat Ko Kar Raha Hoon Jama
Chal Ke Pairo’n Pe Main Wahan Pauhcho’n
Main Jo Tarpoon To Wo Tarapta Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Usne Tujhko Yahan Nahi Dekha
Haan..chhor Kar Warna Wo Nahi Jata
Tere Zakhmo’n Pe Rakhta Wo Marham
Tujhko Pani Mera Pisar Deta
Hayee Lekin Wo Khud Bhi Piyasa Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Bola Salman Azmi Wo Jawa’n
Main Hi Akbar Hoon Mere Baba Jaan
Na Hi Gehra Hai Itna Zakhm E Jigar
Na Hi Sadma Koi Hai
Zakhm E Sina
Jitna Sadma Tumhara Kehna Hai
Mere Akbar Ko Kahi’n Dekha Hai
Tere Jaisa Hi Uska Seena Hai
Mere Akbar Ko Kahi Dekha Hai
Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai