Reciter: Taha Mehdi
Hussain Mola
Khush Amadeed Ay Zawar E Hussain
Mola Labbaik Aaqa Labbaik Mola Labbaik Ya Hussain
Hussain Mola
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Meri Ghurbat Py Khoon Rony Mere Gham Khuwar Aye Hain
Yeh Gham Apny Bhula Kar Aye Hain Bas Gham Mera Karny
Yeh Meelon Chal Ky Aye Hain Yahan Aaho Buka Karny
Yeh Mery Ishq Mein Aye Hain Jaan Apni Fida Karny
Yeh Aaye Hain Yahan Nana Ky Allah Sy Wafa Karny
Jo Roze Hashr Chamken Gy Wohi Minaar Aye Hain
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Mery Hubdaar Hain Main Dard O Gham In Ky Mita Dun Ga
Inhen Jo Chahiye Ek Pal Mein Main In Ko Dila Dun Ga
Muqaddar Joan Aur Hurr Ki Tarah In Ky Jaga Dun Ga
Khatayen In Ki Sab Khaliq Sy Apny Bakhshwa Dun Ga
Khudaya Teri Jannat Ky Yeh Sab Haqdaar Aye Hain
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Yeh Sab Ashiq Hain Mery Bas Meri Khatir Tarhapty Hain
Yeh Dill In Ky Jo Hain Ulfat Mein Bas Meri Dharhakty Hain
Mery Hi Gham Mein In Ki Ankh Sy Aansoo Barasty Hain
Yeh Mujhsy Door Reh Kar Bhi Mery Is Dill Mein Basty Hain
Uthaye Deen Ka Parcham Mery Ansaar Aye Hain
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Wilayat Ka Hamari Har Qadam Iqrar Karty Hain
Mukhalif Ho Jahan Haq Ka Magar Izhar Karty Hain
Hamary Gham Py Apni Har Khushi Eesaar Karty Hain
Khuda In Sab Sy Razi Ho Yeh Ham Sy Pyar Karty Hain
Yeh Sab Hirs O Hawa Ki Rond Kar Raftaar Aye Hain
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Yeh Sab Tanhai Mein Apni Mujhy Bas Yad Karty Hain
Mawaddat Sy Meri Har Gham Ko Apny Shad Karty Hain
Khuda Mujh Sy Mila Dy Bas Yehi Faryad Karty Hain
Mery Matam Sy Apny Ghar Ko Yeh Abaad Karty Hain
Mery Mehdi Ky Lashkar Ky Sabhi Maymaar Aye Hain
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
In Hi Ky Dam Sy Roshan Hai Yeh Roza Aur Azadari
Mery Maqsad Sy Har Lamha Yeh Karty Hain Wafadari
Bury Halaat Hon Jitny Aza Rakhty Hain Yeh Jaari
Kataye Hath Kitnon Ny Magar Chorhi Na Zawwari
Yazeed E Waqt Ka Ban Kar Yeh Sab Inkar Aye Hain
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Yeh Haq Sy Jaa Milen Bas Is Liye Sar Ko Kataya Tha
Yeh Mil Jayen Khuda Sy Is Liye Ghar Ko Lutaya Tha
Baqa Kya Hai Samajh Aaye Lahoo Bas Yun Bahaya Tha
Na Yeh Bhatken Andheron Mein Diya Ek Yun Jalaya Tha
Yeh Haq Sy Jaa Mily Hain Sab Tabhi Is Paar Aye Hain
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Yeh Hoty Karbala Mein To Hamara Ghar Nahi Lut’ta
Yeh Hoty Karbala Mein To Hamara Sar Nahi Kat’ta
Na Gardan Py Mery Bey Sheer Ky Teer E Sitam Garhta
Na Jalti Rait Par Kha Par Sinaan Akbar Mera Girta
Tery Bazu Nahi Kat’ty Na Mashkeeza Tera Chidta
Na Chinti Chadar E Zainab Na Phir Khaima Koi Jalta
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Mujhy Maloom Hai Ta Haq Meri Ankhon Py Tha Parda
Bayan Kaisy Karun Jis Waqt Main Rozy Py Pahuncha Tha
Yeh Dill Us Waqt Kehta Tha Hai Tery Samny Mola
Galy Mujh Ko Lagany Ky Liye Jaisy Koi Aaya
Yaqeenan Mujh Ko Leny Khud Mery Sarkar Aye Hain
Woh Dekho Ay Mere Ghazi Mere Zawar Aye Hain
Khushamadeed Ay Zawar E Hussain
Mola Labbaik Aaqa Labbaik Mola Labbaik Ya Hussain