Khairilamal

Midhat E Sakina Lyrics Farhan Ali Waris Manqabat 2016

Language: Urdu
Reciter: Farhan Ali Waris
Recitation Type: Manqabat
Year: 2016

Midhat E Sakina Lyrics written in english text and recited by manqabat khuwan Farhan Ali Waris in 2016. View Farhan Ali Waris manqabat lyrics similar to lyrics of Midhat Hai Kahan Aap Ki Aasan Sakina on Khairilamal.

Midhat E Sakina Lyrics by Farhan Ali Waris in English text

Sakina Sakina Sakina Sakina

Jaisay Keh Bayan Ho Nahi Sakta
Do Lafzon Mein Quran Sakina

Sakina Sakina Sakina Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina
Kaisay Main Likhun Doosra Quran Sakina

Shabbir Ky Honton Py Hai Bibi Teri Midhat
Ya Labb Py Hai Quran Ky Quran Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Ek Samt Hain Shabbir To Ek Samt Hain Abbas
Gehwaray Ki Teray Hain Ajab Shaan Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Quran Taharat Mein Ho Tum Surah E Kausar
Is Par Hai Mukammal Mera Emaan Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Parcham To Bahut Aur Bhi Duniya Mein Hain Lekin
Hai Parcham E Abbas Ki Pehchan Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Shabbir Yeh Kehtay Hain Keh Tum Jis Mein Nahi Ho
Ghar Aisa Nazar Ata Hai Weeran Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Us Shakhs Ka Rutba Koi Abbas Say Poochay
Jo Hai Teray Darbar Ka Darbaan Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Jab Sham Ky Darbar Mein Hoti Hain Azaanen
Hota Hai Teri Jeet Ka Ailaan Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Is Khawab Ki Tabeer Dikha Day Mujhay Bibi
Main Phir Say Hua Hun Tera Mehman Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Dil Mein Hai Meray Aik Hi Armaan Sakina
Niklay Teray Rozay Py Meri Jaan Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Sab Kuch Main Luta Deta Hun Shabbir Py Phir Bhi
Honay Nahi Deti Mera Nuqsan Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Ash’har Nay Kaha Barh Gai Toqeer Teri Aur
Beti Ka Rakha Naam Jo Farhan Sakina

Midhat Hai Kahan Ap Ki Aasan Sakina

Sakina Sakina Sakina Sakina

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *