Reciter: Hashim Sisters
Abbas
Ao Ao Ay Ahl E Aza Zinda Rahay Gi Yeh Sada
Abbas Ibne Ali Ka Tazkira Hai
Mola Abbas Ibne Ali
Yeh Hai Wafaon Ka Khuda Kya Shan Hai Paai
Makkah Madina Karbala Jageer Hai Us Ki
Yeh Hai Ali Ka Laal Yeh Kaabay Ka Waris Hai
Hum Ny Sakhi Abbas Sa Dekha Na Koi
Shair E Khuda Shair E Jari
Mola Abbas Ibne Ali
Abbas Ibne Ali Ka Tazkira Hai
Mola Abbas Ibne Ali
Keh Kar Dua E Fatima Bheja Gya Tujh Ko
Khud Madar E Shabbir Nay Beta Kaha Tujh Ko
Kiun Na Kahun Tu Husn Ki Hai Inteha Ghazi
Baba Ali Jaisa Mila Hai Chehra Tujh Ko
Chehra Tera Masha Allah
Rutba Tera Subhan Allah
Abbas Ibne Ali Ka Tazkira Hai
Mola Abbas Ibne Ali
Siffeen Ky Jab Maidan Mein Tu Nay Qadam Rakha
Aankhon Mein Teri Roab Hai Mola Ali Jaisa
Kuffar Mein Yeh Shor Tha Aye Ali Aye
Bhagay Thay Saray Jab Hua Tha Hamla Tera
Jo Bhi Teri Zad Mein Aya
Hamlay Say Woh Bach Na Paya
Abbas Ibne Ali Ka Tazkira Hai
Mola Abbas Ibne Ali
Bazu Nahi Hain Phir Bhi Dariya Py Tera Qabza
Jeeta Hai Tu Is Ki Gawahi Hai Tera Roza
Dono Jahan Masroof Hain Teri Ghulami Mein
Mola Zameen O Aasman Hai Sadqa Tera
Dill Mein Rahay Tera Hi Gham
Ooncha Rahay Tera Alam
Abbas Ibne Ali Ka Tazkira Hai
Mola Abbas Ibne Ali
Mashk E Sakeena Bhar Ky Jab Dariya Say Tu Laota
Teeron Say Tujh Py Pehray Daron Nay Kiya Hamla
Mashk E Sakeena Chid Gai Bazu Katay Teray
Chehray Ky Ball Tu Khak Py Ghorhay Say Aya
Chehra Tera Zakhmi Hua
Ran Mein Tera Khoon Baha
Abbas Ibne Ali Ka Tazkira Hai
Mola Abbas Ibne Ali
Shabbir Jab Pahunchay To Na Dekha Gaya Tujh Ko
Kehnay Lagy Ek Bar Tum Bhai Kaho Mujh Ko
Bhai Kaha Abbas Nay Aur Ho Gaye Rukhsat
Kehtay Rahay Shabbir Bhai Kuch To Bolo
Rota Raha Ibne Zahra
Lasha Tera Uth Na Saka
Abbas Ibne Ali Ka Tazkira Hai
Mola Abbas Ibne Ali
Zeeshan Yeh Hasrat Hai Hum Bhi Karbala Dekhen
Us Hashmi Abbas Ki Shan E Wafa Daikhen
Ja Kar Sunayen Roo Baroo Ghazi Ko Yeh Noha
Ek Baar Hum Bhi Jeetay Jee Woh Roza Daikhen
Yeh Hai Yaqeen Ho Ga Karam
Karbobala Daikhen Gay Hum
Abbas Ibne Ali Ka Tazkira Hai
Mola Abbas Ibne Ali