Reciter: Irfan Haider
Haye Haye Haye Haye
Sajjad
Maula Sajjad Ka Noha Suntay Hi
Aza Khana E Dill Mein
Ho Gai Majlis Barpa
Ho Gaya Matam Barpa
Ho Gai Majlis Barpa
Ho Gaya Matam Barpa
Tareekh E Gham E Sajjad Mein Yeh
Arbab E Maqatil Nay Likha
Noman Bin E Manzar Say Yeh
Sajjad Nay Ek Din Farmaya
Aghaz E Safar Say Akhir Tak
Kya Kya Na Sitam Guzray Hum Par
Han Saat Masayeb Aisay Thay
Jo Sakht Tareen Huye Hum Par
Sajjad Ki Ghurbat Wawaila
Haye Woh Qayamat Wawaila
Woh Sitam Woh Sakhtiyan Aur
Sham Ka Woh Raasta
Wallah Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Sham Ka Woh Bazar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Talwar Aur Naizon Say Hum Par
Woh Hamla Kartay Jatay Thay
Logon Ki Bheerh Mein Latay Thay
Aur Dhol O Tabal Bajwatay Thay
Hanstay Thay Woh Hum Par Wawaila
Sadaat Kay Gham Par Wawaila
Sham Ki Raahon Mein Kitna
Sarkashon Nay Tarhpaya
Wallah Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Sham Ka Woh Bazar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Abbas Aur Baba Ka Sar Woh
Phuphiyon Kay Samnay Rakhtay Thay
Akbar Aur Qasim Kay Sar Say
Meray Samnay Shami Khailtay Thay
Kehti Thi Sakina Wawaila
Ay Shah E Madina Wawaila
Haye Shohada Kay Saron Par
Dorhna Woh Ghorhon Ka
Wallah Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Sham Ka Woh Bazar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Ek Morh Pay Shami Logon Nay
Jab Aag Gharon Say Barsai
Woh Aag Bujhata Main Kaisay
Jo Meray Amaamay Par Aai
Meray Hath Bandhay Thay Wawaila
Han Sab Dekh Rahay Thay Wawaila
Jal Gaya Mera Umaama
Jal Gaya Sar Bhi Mera
Wallah Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Sham Ka Woh Bazar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Woh Subho Say Lay Kar Sham Talak
Galiyon Mein Phiratay Thay Hum Ko
Bazar Mein Sab Kay Samnay Woh
Durray Bhi Lagatay Thay Hum Ko
Logon Ko Bula Kar Wawaila
Kehtay Thay Sitamgar Wawaila
Yeh Hain Baaghi In Ko Maro
Waqt Tha Hum Par Kaisa
Wallah Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Sham Ka Woh Bazar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Han Karbobala Say Sham Talak
Hum Aik Rasan Mein Jakrhay Thay
Allah Allah
Ahl E Khaibar Aur Khandaq Kay
Ghar Kay Aagay Say Jab Guzray
Phuphiyon Ka Woh Rona Wawaila
Zalim Ka Woh Kehna Wawaila
Yeh Ali Ki Betiyan Hain
Aao In Say Lo Badla
Wallah Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Sham Ka Woh Bazar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Han Ek Bazar Aisa Bhi Tha
Khuddam Jahan Par Biktay Thay
Afsos Ghulamon Ki Tarah
Woh Hum Ko Baichna Chahtay Thay
Haye Haye Haye
Hum Kehtay Thay Ro Kar Wawaila
Allah Madad Kar Wawaila
Koi Bhi Aisa Nahi Tha
Jis Nay Pathar Na Mara
Wallah Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Sham Ka Woh Bazar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Zeeshan E Aza Irfan E Aza
Sajjad Nay Ro Kar Farmaya
Hamen Aisay Maqaamon Par Rakha
Jahan Chat Thi Na Koi Saya Tha
Han Din Ki Woh Garmi Wawaila
Aur Raat Ki Sardi Wawaila
Pyaas Ki Halat Mein Na Poocho
Kitna Mushkil Tha Jeena
Wallah Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Haye Sham Ka Woh Bazar
Na Bhoolay Ga Sajjad
Na Bhoolay Ga Sajjad
Ho Gai Majlis Barpa
Ho Gaya Matam Barpa