Reciter: Syed Zain Ali Zaidi

Haye Haye Haye
Haye Haye Haye

 

Jab Musa E Kazim Ky Betyny Khabar Pai
Pardais Ky Zindan Mein Baba Ko Qaza Aai

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Main Apny Watan Mein Hun Pardais Mein Hain Baba
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Ay Kash Koi Mujh Ko Ly Jata Madiney Se
Aasan Hai Mar Jana Bin Baap Ky Jeeney Se
Har Waqt Rulaye Ga Ab Mujh Ko Yehi Sadma
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Sy Bhaia Ka Paigham Yeh Aya Hai
Mazloom Mera Baba Zanjeer Mein Jakrha Hai
Pahunchy Dy Kkhuda Mujh Ko Jis Jaa Hain Mery Baba
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Is Soch Mein Rehti Thi Ek Roz Woh Aayen Gy
Choomen Gy Mery Maatha Seeney Sy Lagayen Gy
Baba Ki Judai Se Dil Toot Gaya Mera
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Yad Aayen Gy Jab Baba Dhunden Gi Meri Aankhen
Ab Mujh Ko Rulayen Gi Woh Pyar Bhari Baten
Kaisa Yeh Muqaddar Hai Woh Chorh Gaye Duniya
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Bhaia Ny Bataya Hai Zakhmi Thy Bahut Baba
Pardais Hai Ghurbat Hai Koi Bhi Nahi Apna
Na Sath Nibha Pai Tanha Hain Mery Bhaia
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Zindaan Sy Riha Ho Kar Baba To Nahi Aaye
Bas Meri Yateemi Ki Aai Hai Khabar Haye
Murjha Gaya Ghurbat Mein Ek Phool Imamat Ka
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Kiun Aaj Mujhe Haye Yad Aati Hai Sughra Ki
Roti Thi Yeh Isi Tarah Woh Yad Mein Baba Ki
Hai Mera Muqaddar Bhi Sughra Ky Muqaddar Sa
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Noha Yeh Musalsal Hai Ab Zain Ky Honton Par
Zeeshan Yeh Dill Mera Phat Jaye Na Ro Ro Kar
Har Dill Ko Rulaye Ga Shehzadi Ka Yeh Jumla
Na Dekh Saki Chehra

Baghdad Ka Rukh Kar Ky Kehti Thi Yeh Masooma
Na Dekh Saki Chehra Haye Na Dekh Saki Chehra

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply