Reciter: Farhan Ali Waris
Ali Ali Asghar Ali Ali
Aaj Quran E Shuja’at Ka Tilawat Sun Lo
Rann Mein Chay Maah Ky Haider Ki Balaghat Sun Lo
Aaj Parhta Hun Main Asghar Ki Shaja’at Ki Kitab
Laye Asghar Ko Jo Maidan Mein Sheh E Aali Janab
Hurmala Say Yeh Kiya Asghar E Nadaan Nay Khitab
Jang Karnay Ko Meray Samnay Tu Aya Hai
Teray Dada Nay Meray Ghar Ka Namak Khaya Hai
Naam Asghar Hai Mera Ibne Hussain Ibne Ali Hun
Hurmala Kis Liye Tu Mujh Py Sitam Karta Hai
Ulti Seedhi Si Yeh Kiun Sansen Abhi Bharta Hai
Teer Gir Gir Ky Batatay Hain Keh Tu Darta Hai
Hurmala Teray Liye Aur Teray Ghar K Liye
Choorhiyan Laya Hun Main Sham Ky Lashkar K Liye
Naam Asghar Hai Mera Ibne Hussain Ibne Ali Hun
Mujh Ko Chota Na Samajh Baat Yehi Kehta Hun
Main Bhi Akbar Ki Tarah Azm E Jawan Rakhta Hun
Lakh Hon Samnay Phir Bhi Main Nahi Darta Hun
Jang E Khaibar Ki Taraf Khaof Say Tum Bhago Gay
Aisa Marun Ga Keh Pani Bhi Nahi Mango Gay
Naam Asghar Hai Mera Ibne Hussain Ibne Ali Hun
Chay Mahinay Ka Hun Par Josh E Ali Rakhta Hun
Aik Pal Mein Teray Lashkar Ko Ulat Sakta Hun
Teer Talwar Say Khanjar Say Kahan Larhta Hun
Aankh Bhar Ky Tujhay Daikhun To Bikhar Jaye Ga
Tu To Bas Aik Hansi Say Meri Mar Jaye Ga
Naam Asghar Hai Mera Ibne Hussain Ibne Ali Hun
Jab Qaza Teer Ko Asghar Ki Taraf Ly Ky Chali
Teer Ko Daikh Kay Asghar Nay Parhi Nad E Ali
Thi Lab E Asghar E Masoom Py Halki Si Hansi
Farq Aaya Nahi Bey Sheer Ki Paishani Mein
Hurmala Doob Jaa Ab Jaa Ky Kahin Pani Mein
Naam Asghar Hai Mera Ibne Hussain Ibne Ali Hun
Haq Hai Yeh Sahil O Farhan Ali Asghar Ka
Zikr Kartay Raho Har Aan Ali Asghar Ka
Deen E Khaliq Py Hai Ehsan Ali Asghar Ka
Jis Nay Islam Ki Tasweer Mukammal Kar Di
Bey Zaban Ho Ky Bhi Taqreer Mukammal Kar Di
Naam Asghar Hai Mera Ibne Hussain Ibne Ali Hun