Reciter: Taha Mehdi

Haye Ghazi Haye Haye Sham

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Jawab Kiun Nahi Dety Usi Tarah Sy Mujhy
Main Dy Rahi Hun Sada Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Sinan Sy Girty Huye Tery Sar Ko Jab Dekha
Mujhy To Aisa Laga Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Tumhi Rida Ky Muhaafiz Thy Tum Sy Kehti Hun
Nahi Hai Sar Py Rida Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Har Aik Bibi Py Hony Lagi Ghashi Taari
Andhera Chaany Laga Sham Aa Gya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Sharabi Qehqahy Kaanon Ko Jab Sunaai Diye
Mujhy Yaqeen Hua Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Tumhen Sada Na Agar Dun To Phir Kidhar Jaun
Nahi Hai Koi Mera Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Tery Sahary Behn Aai Thi Madiney Sy
Utha Jo Saya Tera Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Udhar Tha Shor Tamashaiyon Mein Aur Navaid
Idhar Thi Sab Ki Sada Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Behn Ka Sar Hai Khula Sham Aa Gaya Ghazi
Nahi Khabar Tumhen Kya Sham Aa Gaya Ghazi

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply