Reciter: Nadeem Sarwar

Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah Ya Habib Allah Ya Kaleem Allah
Ya Shafeeh Allah Ya Rafeeh Allah Ya Nabi Allah

Ya Rasool Allah

Zameen Jab Na Thi Na Aasman Koi
Na Chand Tary Thy Na Kehkashan Koi
Huroof Bhi Na Thy Na Thy Zuban Koi
Han Aisy Alam Mein Bhi Meharban Koi
Khuda Bas Aisy Mein Yeh Keh Raha Ho Ga
Mery Hawaly Sy Jo Tazkira Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Habib Mera Hai Libas E Rehmat Mein
Banai Hai Duniya Isi Ki Chahat Mein
Sana Isi Ki Hai Kalam E Qudrat Mein
Durood Isi Par Hai Meri Ibadat Mein
Jo Sakhtian Jhaily Meri Mohabbat Mein
Shafi E Mehshar Bhi Faqat Yehi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Woh Mery Bandon Ko Mera Pata Dy Ga
Woh Bey Saharon Ko Bhi Aasra Dy Ga
Woh Zakhm Khaye Ga Magar Dua Dy Ga
Isi Ka Kunba To Gala Kata Dy Ga
Hussain Sab Apny Diye Bhuja Dy Ga
Andhera Jab Phaily Woh Roshni Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Nabi Ka Roza Hai Hamary Seenon Mein
Haseen O Yakta Hai Woh Sab Haseenon Mein
Isi Ka Charcha Hai Falak Nasheenon Mein
Jali Hai Nam Is Ka Sabhi Saheefon Mein
Likha Hai Naam Is Ka Sabhi Safeenon Mein
Ab Hum Ko Toofan Sy Na Dar Koi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Duayen Karty Hain Tery Waseelay Sy
Mareez Jitny Hain Unhen Shifa Dy Dy
Nabi Ky Sadqy Mein Yeh Martaba Dy Dy
Yaqeen Ki Manzil Ka Tu Rasta Dy Dy
Nabi Ky Bachon Ki Tu Khak E Paa Dy Dy
Kahan Tery Jaisa Koi Sakhi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Ya Ali Mola Ya Ali Mola

Imam Ul Momimeen Imam Ul Muttaqeen Imam Ul Sadiqeen
Imam Ul Aalimeen Imam Ul Awwaleen Imam Ul Akhireen
Ya Qaahir Al Adoo E Ya Wali Al Wali
Ya Mazhar Al Ajayeb Ya Murtaza Ali

Nabi Ny Manga Tha Khuda Sy Ek Nasir
Ali Ki Soorat Mein Hua Hai Woh Zahir
Nabi Ny Jab Chaha Ali Huye Hazir
Ali Ki Midhat Sy Zuban Hai Qaasir
Ali Sar E Mimbar Salooni Ka Zakir
Jahan Nabi Hon Gy Wahan Ali Ho Ga
Ali Ali Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Ali Ko Bakhsha Hai Khuda Ny Kya Rutba
Nabi Ka Bhai Hai Batool Si Zoja
Ali Nazar Aya Ali Ka Har Beta
Nabi Ki Hikmat Ka Ali Hai Darwaza
Na Doosra Haider Na Doosra Kaaba
Na Ho Saka Pehly Na Ab Kabhi Ho Ga
Ali Ali Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Woh Asr E Ashoora Ali Ka Ek Beta
Rasool Thy Jis Sy Rasool Sy Jo Tha
Tamam Lashon Ko Uthata Tha Tanha
Jo Zair E Khanjar Yeh Bayaan Deta Tha
Rahy Ga Deen Ab To Hamary Nana Ka
Zameen E Maqtal Par Likha Yehi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Ali Ky Kunby Par Sitam Huye Kya Kya
Kahin Jaly Khaimy Kahin Luta Parda
Kahin Katy Bazoo Kahin Chida Seena
Kisi Ka Maqtal Mein Bikhar Gaya Lasha
Yeh Zulm Dekha To Khuda Pukar Utha
Hussain Jo Keh Dy Sada Wohi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Khayal Ata Hai Rehan Aur Sarwar
Bala Ki Garmi Mein Jab Aik Pyasay Par
Chala Raha Ho Ga Laeen Jab Khanjar
Tarhap Rahi Ho Gi Hussain Ki Khuahar
Sada Magar Ho Gi Hussain Ky Labb Par
Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Ya Rasool Allah
Ya Rasool Allah

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply