Reciter: Farhan Ali Waris

Pamal Huwa Qasim Dulha Khaimon Mein Bapa Kohram Huwa

Hathon Mein Utha Kar Ek Gathri Es Tarha Shah E Deen Aty Hain
Chehry Py Ajab Weerani Hai Aur Khak Py Girty Jaty Hain
Ek Hath Mein Hai Taweez E Hasan Ek Hath Mein Qasim Ka Lasha
Pamal Huwa Qasim Dulha Khaimon Mein Bapa Kohram Huwa

Ek Shor E Qayamat Khaimon Mein Har Simt Hai Matam Aur Noha
Baalon Mein Khak Hai Kubra Ky Aur Sar Py Parhi Hai Shaal E Aza
Ek Rat Ki Biyahi Roti Hai Ek Rat Ka Dulha Qatal Hua
Pamal Huwa Qasim Dulha Khaimon Mein Bapa Kohram Huwa

Haye Haye Bhaiya Kya Zulm Hua Zainab Ky Labon Par Hai Yeh Sukhan
Dil Tukry Hua Jata Hai Mera Pamal Hui Tasweer E Hasan
Tarkon Mein Hua Us Ka Sehra Arman Tha Jis Ki Shadi Ka
Pamal Huwa Qasim Dulha Khaimon Mein Bapa Kohram Huwa

Yeh Keh Ky Haram Sab Roty Hain Ek Rat Ky Dulha Ky Gham Mein
Ay Ibne Hasan Furqat Mein Teri Masroof Hain Sab Hi Matam Mein
Zainab Hain Kahin Ghash Mein Fizza Karti Hain Kahin Noha Farwa
Pamal Huwa Qasim Dulha Khaimon Mein Bapa Kohram Huwa

Tukron Mein Bata Hai Yun Lasha Jis Tarha Sy Bikhra Hua Sehra
Bhar Sakta Nahi Marham Bhi Isy Yeh Zakhm Jigar Par Hai Gehra
Farwa Py Qayamat Tooti Hai Karti Hai Woh Ro Ro Kar Noha
Pamal Huwa Qasim Dulha Khaimon Mein Bapa Kohram Huwa

Qismat Na Dikhaya Yeh Din Bhi Zainab Ky Labon Par Hai Yeh Fughan
Dulha Ky Labon Ki Mehndi Sy Kubra Ky Rangy Hain Hath Yahan
Yeh Bewa Hui Ek Shab Ki Dulhan Yun Looti Gai Is Ki Duniya
Pamal Huwa Qasim Dulha Khaimon Mein Bapa Kohram Huwa

Farhan Meri Ankhon Sy Rawan Ashkon Ka Samandar Hai Gham Mein
Mazhar Ka Qalam Karta Hai Fughan Masroof Hai Dill Bhi Matam Mein
Karty Hain Buka Sab Ahl E Aza Hai Aik Sada Sad Wawaila
Pamal Huwa Qasim Dulha Khaimon Mein Bapa Kohram Huwa

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply