Reciter: Tejani Brothers

Haay Sakina
Qadam qadam pe mili karbala sakina ko

kahin na pani pilaya gaya sakina ko
Qadam qadam pe mili karbala sakina ko

Na jane kaisay woh samjhi keh hain yehi baba
bagair sir kay jo lasha mila sakina ko
kahin na pani pilaya gaya sakina ko
Qadam qadam pe mili karbala sakina ko

Kabhi jo shimr ney jhidka sehem gayi dukhiya
bachanay qaidi biraadar utha sakina ko
kahin na pani pilaya gaya sakina ko
Qadam qadam pe mili karbala sakina ko

Baghayr baap ka sina, na neend aati thi
Zindaa(n) may khaak pe sona, para Sakina ko
kahin na pani pilaya gaya sakina ko.
Qadam qadam pe mili karbala sakina ko

Bataye kisko yeh bemar bhai zindan mein
Andheri qabr mein dafna diya sakina ko
kahin na pani pilaya gaya sakina ko.
Qadam qadam pe mili karbala sakina ko

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply