Reciter: Tejani Brothers
(Haaye Qasim, haay haay qasim, shahzada mera qasim) x2
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x3
1. Roti hai phuphi uski, haaye roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
2. (Sab khu(n) me bharaa sehra poshaak darida hai) x2
Pamaal badan saara, haaye pamaale badan saraa, aur khaak ka bistar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
3. (Mehndi hai lahu wali nawhshaah ke haatho mei) x2
Saaye ke liye sar par, haaye saaye ke liye sar par, bas dhoop ki chadar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
4. (Tukre tha jigar jese ay maula hassan tera) x2
Tukro mei yahaa maula, haaye tukro me yahaa maula, waise tera dilbar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
5. (Maa kehti thi qasim ki ay laal kahaan jawu(n)) x2
G(h)ayre huwe khaymo ko, haaye G(h)ayre huwe khaymo ko, kuffar ka lashkar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
6. (Ik gathri me laate hai(n) shabbir ye kya ran se) x2
Awaaze falak ayi, haaye awaaze falak aayi, lakhte dile shabbar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
7. (Behno ne kiya matam qasim ke janaaze par) x2
Masroofe fughaa saari, haaye masroofe fugha saari, awlaade payambar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
8. (Shah kehte the ay qasim kyu(n) tuj ko ajal ayi) x2
Sine me mere beta, haaye sine me mere beta, ik dard ka khanjar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
9. (Bikhra hai tera sehra jalti huwi reyti par) x2
Har phool ki ankho(n) me, haaye har phool ki ankho(n) me, ashko ka samandar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2
10. (“Rehan” zaraa socho laashe to bahattar hai(n)) x2
Rone ke liye tanha, haaye rone ke liye tanha, “Shabbir” ki khahar hai
(Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai) x2