Reciter: Mir Hasan Mir
Haye Zahra Haye Zahra
Rooti Rahi Kharhi Zahra Bharay Darbar Main
Na Jany Kis Tarah Haq Mangti Rahi Zahra Bharay Darbar Main
Roti Rahi Kharhi Zahra Bharay Darbar Main
Sanad Ky Tukry Hawa Mein Urha Ky Hansny Laga
Rasool Zadi Sy Gustakh Aisy Kehny Laga
Bata Woh Kon Si Jageer Hai Teri Zahra
Bharay Darbar Main
Roti Rahi Kharhi Zahra Bharay Darbar Main
Hasan Hussain Sy Sachay Gawah Bhi Jhutlaye
Bula Ky Bibi Ko Zalim Zara Na Sharmaye
Bhula Na Paye Gi Ummat Ki Bey Rukhi Zahra
Bharay Darbar Main
Roti Rahi Kharhi Zahra Bharay Darbar Main
Yeh Us Ki Beti Hai Jis Ny Do Lakht Chand Kiya
Woh Jis Ky Noor Ny Har Roshni Ko Maar Kiya
Isy Satao Na Dukhiari Hai Barhi Zahra
Bharay Darbar Main
Roti Rahi Kharhi Zahra Bharay Darbar Main
Nabi Ky Bad Yeh Kya Ho Gaya Zamanay Ko
Kiun Kalma Go Hain Chaly Tera Ghar Jalanay Ko
Sahy Gi Kis Tarah Tu Yeh Sitam Gari Zahra
Bharay Darbar Main
Roti Rahi Kharhi Zahra Bharay Darbar Main
Siyah Bal Jo Maan Ky Safaid Tar Dekhy
Toqeer Kaisy Kahun Betion Ny Sar Peety
Gai Thi Jis Tarah Ghar Haye Thaki Thaki Zahra
Bharay Darbar Main
Roti Rahi Kharhi Zahra Bharay Darbar Main