Reciter: Nadeem Sarwar
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Ajeeb Sanahay Hum Par Guzar Gaye
Ranj O Alam Nay Ghair Liya Ham Jidhar Gaye
Nana Khuda Ky Ghar Mein Na Hum Ko Amaan Mili
Bhai Nay Shehar Chorh Ky Jangal Ki Raah Li
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Hamaray Ghar Ka Sab Asbab Lut Gaya
Nana Hamaray Sar Py Na Baqi Rahi Rida
Nana Hazar Tarah Jafa Ki Laeenon Nay
Khaimay Mein Haye Aag Laga Di Laeenon Nay
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Shaheed Ho Gaye Bhai Ky Jaan Nisar
Aik Aik Kar Ky Mar Gaye Ashab E Zee Waqar
Nana Bala Ky Ban Mein Qayamat Ka Rang Parha
Bhai Say Bhai Baap Say Beta Bicharh Gaya
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Tumhari Shakal Ka Farznad Ek Jo Tha
Kha Kar Sinaan Jigar Py Woh Mehroo Bhi Chal Basa
Nana Shaqi Ky Teer Say Asghar Hua Shaheed
Aisa Hua Na Ho Ga Jahan Mein Sitam Shadeed
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Zameen E Karbobala Lal Ho Gai
Qasim Ki Lash Ghorhon Say Pamal Ho Gai
Nana Kata Ky Shanon Ko Abbas Mar Gaye
Ghurbat Mein Bhai Jan Ko Bey Aas Kar Gaye
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Hui Aseer Tumhari Nawasiyan
Kon O Makan Mein Cha Gaiin Gham Ki Udasiyan
Nana Haram Hussain Ky Bazar Mein Gaye
Hum Sar Barehna Koofay Ky Darbar Mein Gaye
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Tumhari Aal Aai Lutt Ky Sham Mein
Pahunchiin Ali Ki Betiyan Darbar E Aam Mein
Nana Aseer Sahib E Tatheer Ho Gaye
Hum Log Shehar E Sham Mein Tashheer Ho Gaye
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Aseer Barah Thay Aur Aik Thi Rasan
Bandhay Gaye Thay Misl E Gunahgar E Khasta Tan
Nana Hum Apnay Hall Pay Rotay Thay Haal E Zaar
Nana Hamaray Hal Py Hanstay Thay Bad Shoaar
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Aik Ek Ka Nam Poochta Tha Bani E Sitam
Nana Batata Jata Tha Shimr E Jafa Sitam
Yeh Zainab E Hazeen Woh Kulsoom E Dil Figaar
Ungli Utha Utha Ky Dikhata Tha Nabgha
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Ajeeb Hal Hamara Tha Us Gharhi
Ak Bibi Peechay Doosri Bibi Kay Chupti Thi
Us Waqt Thar Thari Si Meray Tan Mein Parh Gai
Sad Haif Hai Zameen Mein Zainab Na Garh Gai
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Itnay Mein Aik Shami Nay Nana Ghazab Kiya
Sayedani Ko Kaneezi Mein Us Nay Talab Kiya
Hoti Thi Lakh Zillaten Hum Daikhtey Rahay
Hans Hans Ky Tazianay Sitam Jhailtay Rahay
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Tabah Ho Ky Hum Aye Hain Sham Say
Ek Dagh E No Sakina Ka Laye Hain Sham Say
Ab Thak Ky Neel Rassi Ky Shanon Ko Daikh Lo
Nana Hamaray Tan Pay Nishanon Ko Daikh Lo
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Watan Ko Aai Hun Zakhmi Jigar Ky Liye
Nana Safar Say Aai Hun Dard E Safar Ky Liye
Nana Woh Shakh Kat Gai Gulshan Ujarh Gaya
Kaisay Bataun Aap Ka Shabbir Mar Gaya
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Nana Woh Dukh Uthaye Hain Darbar E Sham Mein
Hum Sar Barehna Phirtay Thay Bazar E Aam Mein
Nana Hamara Moonis O Yawar Koi Na Tha
Ummat Nay Aisay Ajar E Risalat Ada Kiya
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai
Zainab Jo Ro Kay Karti Thi Qabr E Nabi Pay Bayn
Tharra Raha Tha Roza e Sultan e Mashraqain
Bas Khatam Kar Nisar Yeh Gham Naak Dastan
Roye Hain Is Alam Mein Zameen Aur Aasman
Rozay Pay Mustafa Ky Udasi Si Chai Hai
Kunbay Ko Kho Ky Zainab E Nashad Aai Hai