Reciter: Hashim Sisters
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Ay Azadaro! Hai Zahra Ki Dua Farsh E Azaa
Yeh Musalla Hai Musalla E Aza Farsh E Aza
Is Ka Har Lehza Adab Karnay Py Tyar Raho
Is Ki Taqdees Ki Khatir Sadaa Hushyaar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Yahan Rotay Huye Saqqaany Jinaan Aatay Hain
Farsh E Majlis Py Shehenshah E Zaman Atay Hain
Tum Ko Lazim Hai Kay Ghaafil Na Ho Baidar Raho
Marzi E Sheh Ky Har Ik Lamha Talab Gaar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Jo Amal Karny Py Tayaar Nahi Ho Sakta
Wo Sha’hy Deen Ka Azadaar Nahi Ho Sakta
Chahtay Ho Ky Jo Bay Misl Azadar Raho
Misl E Shabbir Namazon Py Bhi Tayaar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Yeh Namazon Ki Sada Aati Hai Kaanon Mein Meray
Chahti Hon K Ada Mujh Ko Azadar Karen
Na Faqat Naam Ky Hi Sheh K Taraf Daar Raho
In Ki Seerat Py Amal Karnay Py Tayaar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Matami Soch K Yeh Farsh E Aza Tak Jaye
Yahan Maola Bhi Hain Ashkon Ko Bahaany Aaye
Jaa Namazon Ki Tarah Is K Talab Gaar Raho
Hujjat E Asr K Tum Taalib E Deedar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Ba Khuda Is Azadari Ki Hain Bani Zainab
Hazrat E Fatima Zahra Ki Hain Saani Zainab
Jaisy Sajjad Thy Tum Wesay Azadar Raho
Karbala Yad Rahy Har Gharhi Gham Khuwaar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Poocha Abid Sy Kahan Zulm Zyada Toota
Cheekh Kar Syed E Saajid Nay Ba Shaam Kaha
Ay Azadaro! Yeh Woh Gham Hai Ky Khoon Baar Raho
Tum Bhi Abid Ki Tarah Ashkon Sy Sarshaar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Bay Adab Koi Bhi Is Farse E Aza Tak Jaye
Mehz Ik Rasm Samajh Kar Na Yahan Tak Aaye
Pehly Pakeezgi E Nafs Py Tayaar Raho
Dy Dua Zahra Tumhein Sahib E Kirdaar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Gaye Abbas To Zainab Ka Yehi Noha Tha
Haaye Ab Kon Bachaye Ga Hamara Parda
Hai Yehi Bibi Ka Paigham Khabar Daar Raho
Apni Maan Behno K Parda K Nighe Daar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho
Qalb Ki Hai Ye Sada Noha Jo Majid Ny Likha
Maaham O Adiya O Saniya Dy Do Yeh Sada
Deen Ky Wastay Tum Saaya E Deewar Raho
Aur Agar Waqt Jo Parh Jaye To Mukhtar Raho
Sachay Azadar Raho, Sachar Azadar Raho
Sachar Azadar Raho