Reciter: Ahmed Raza Nasiri

Guzishta Chand Raton Say
Agarchay Neend Say Bojhal
Magar Baidar Hain Ankhen
Magar Baidar Hain Ankhen

Kisi Halchal Kisi Aahat
Kisi Awaz Pay Goya
Lagi Hon Har Gharhi Jaisay
Isi Shab Kay Kisi Lamhay

Koi Parda Uthaye Ga
Ehm Ailaan Duniya Ko Manadi Yun Sunaye Ga
Sabhi Baidar Ho Jao

Bajanib Hujjat E Doran Abhi Paigham Aya Hai
Tumhen Us Nay Bulaya Hai

Chalay Aao Imam E Waqt Key Pur Noor Chehray Ki
Sunehri Roshni Mein Is Zameen Ko Zoon Fishan Daikho
Usi Awaz Ki Ummed Pay Thehri Hui Sansen
Andhairi Shab Mein Subh E Noor Ki Yeh Muntazir Ankhen
Meri Sonay Say Darti Hain

Agar Jo Neend Aa Jaye
Zara Si Ankh Lag Jaye
Mujhay Koi Jagata Hai

Kabhi Awaz Ati Hai
Kahin Say Sibt E Jafar Ki
Amal Tum Aaj Hi Kar Lo
Kabhi Yeh Kal Nahi Ati
Abhi Baidar Ho Jao
Zara Hushyar Ho Jao

Kabhi Khurram Zaki Ki Aur Shaikh Al Nimr Ki Sari
Dil E Muztar Say Nikli Walwala Angaiz Taqreeren
Ali Safwi Musalsal Torhta Batil Ki Zanjeeren
Mujhay Uthnay Ko Kehta Hai

Kabhi Arif Hussain Ki Qayaday Kay Haseen Lamhay
Hasan Rizvi Ki Ankhon Mein Samaye Nojawan Jazbay
Kabhi Rehbar Khomeini Ki Sadaye Inqelabi Aur
Kabhi Mohsin Hujaji Ki Sada Labbaik Ya Zainab
Kabhi Taghoot Key Aagay Data Qasim Soleimani

Katay Hathon Pay Parcham Ko Sambhalay Akhri Lamhay
Mujhay Awaz Deta Hai
Meray Andar Koi Uth Kar Usay Labbaik Kehta Hai
Mujhay Ghaflat Ki Gehri Neend Say Muhammad Ali Naqvi
Kabhi Baidar Karta Hai
Meray Sonay Say Darta Hai

Agar Tum So Gaye To Phir Kahin Sotay Na Reh Jao
Ho Gehri Neend Tari Aur Tabiyat Mein Ho Bay Zaari
Sadayen Lakh Dainay Baarha Tum Ko Jaganay Par
Yeh Kaisa Shor Hai Yeh Log Sonay Bhi Nahi Detay
Yeh Keh Kar Tum Faqat Karwat Badal Kar Phir Na So Jao
Suno Baidar Ho Jao Suno Baidar Ho Jao

Leave a Reply