Reciter: Nadeem Sarwar

Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala

Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala

Har Bibi Kar Rahi Thi Kuch Is Tarah Say Giriya
Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala

Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala Sadat E Karbala

Kuch Bibiyan Yahan Hain Kuch Bibiyan Wahan
Karti Hui Fughan
Bikhri Hui Thiin Maqtal E Sarwar Mein Jaa Baja

Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala
Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala

Ek Bibi Dasht E Khooni Mein Jati Hai Nehr Par
Kehti Bachashm E Tar
Abbas Denay Aai Hun Pursa Sakina Ka

Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala
Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala

Ghut Ghut Ky Ladli Teri Zindaan Mein Mar Gai
Turbat Wahin Bani
Bhaiya Woh Qaid Say Nah Hui Mar Ky Abhi Juda

Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala
Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala

Akbar Ki Qabr Par Yun Hui Laila Noha Gar
Daikha Na Saal Bhar
Aai Hun Qaid Sham Say Ab Ho Ky Main Riha

Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala
Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala

Bano Yeh Bayn Karti Thi Ay Meray Bey Zubaan
Maan Dhunday Ab Kahan
Batla Day Hai Kahan Mera Asghar Ay Karbala

Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala
Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala

Qurban Teray Ay Meray Maan Jaye Bey Watan
Majboor Thi Bahan
Zindaan Mein Mujh Say Teri Amanat Hui Juda

Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala
Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala

Rotay Hain Khas O Aam Tera Sun Ky Yeh Kalam
Ay Shah Ky Ghulam
Noha Tera Anees Hai Maqbool E Bargah

Sadaat E Karbala Sadaat E Karbala
Chehlum Ko Karbala Mein Jab Aain Woh Bibiyan
Sadaat E Karbala

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply