Khairilamal

Riwayyat E Mukhtar Lyrics Mir Hasan Mir Noha 2013

Reciter: Mir Hasan Mir
Recitation Type: Noha
Year: 2013

Riwayyat E Mukhtar Lyrics in Urdu and English Text recited by Mir Hasan Mir.

Riwayyat E Mukhtar Lyrics in English text

Haye Ay Rony Walo
Hai Yeh Riwayaat Mein Likha
Jis Dam Qayam Koofy Mein Mukhtar Ny Kiya
Jo Bhi Thy Qatilan E Shaheedan E Karbala
Un Mein Sy Koi Jab Bhi Giraftar Hota Tha
Hukam E Ameer Par Woh Sitam Jab Sunata Tha
Mukhtar Sar Ko Peet Ky Bas Rota Jata Tha

Ek Roz Tha Yeh Koofy Ky Darbar Ka Samaan
Ibne Numair Apny Sitam Karta Tha Bayaan

Tori Thi Mainy Seena E Akbar Mein Khud Sinaan
Uthta Tha Shor Khaimon Sy Mara Gaya Jawaan

Maan Jeety Jee Guzar Gai Zainab Bhi Mar Gai
Ek Barchi Meri Kitny Jigar Paar Kar Gai

Ek Roz Kar Ky Laya Gaya Hurmala Aseer
Bola Woh Ran Mein Main Ny Chalaye Thy Teen Teer

Us Waqt Pehla Teer Chalaya Tha Ay Ameer
Bhar Kar Chala Jo Mashk Ko Mazloom Ka Safeer

Mashkeezy Sy Jo Teer Mera Paar Ho Gaya
Aisa Laga Keh Qatal Alamdar Ho Gaya

Bola Laeen Yeh Karb Ka Hai Doosra Maqam
Laye Jo Apni Goud Mein Bey Sheer Ko Imam

Sookhi Zuban Phirata Tha Honton Py Tishna Gaam
Yun Qat’aa Ibne Zahra Ka Mainy Kiya Kalaam

Hil Hil Gaya Lahad Mein Jigar Bu Turab Ka
Maqtal Mein Nehr Ho Gaya Bacha Rubab Ka

Darbar Mein Yeh Sun Ky Qayamat Ka Tha Samaan
Peer O Jawan Roty Thy Ly Ly Ky Hichkian

Bola Yeh Hurmala Abhi Baqi Hai Dastaan
Jis Dam Tera Hussain Tha Teeron Ky Darmian

Woh Teer Akhri Tha Jo Mainy Chalaya Tha
Us Teer Ny Hussain Ko Zeen Sy Giraya Tha

Phir Shor Wa Hussaina Ka Uthta Tha Bar Bar
Jab Qaid Kar Ky Laya Gaya Shimr E Bad Sha’aar

Bola Woh Mery Hath Mein Khanjar Tha Taiz Dhaar
Jis Sy Kiye Hussain Ki Gardan Py Tera Waar

Khanjar Rawaan Tha Halq Py Ibne Batool Ky
Dill Kat Rahy Thy Sath Mein Aal E Rasool Ky

Ab Is Ky Bad Mir Takallum Bayan Ho Kya
Ay Pursa Daron Sochna Dill Mein Kabhi Zara

Kiun Itna Waqt Qatil E Shabbir Ko Laga
Kis Wasty Hussain Ka Kat’ta Na Tha Gala

Mehshar Mein Yeh Khuly Ga Sitam Kayenaat Par
Khanjar Ky Kuch Nishan Hain Zahra Ky Hath Par

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *