Reciter: Tejani Brothers
Sajjad Ka Wo Imtehan
Beemar Musafir Hai Aur Sham Ka Darbar
Hathon Mein Rassian Aur Paon Mein Bairhian
Gir Gir Ky Uth Raha Tha Beemar E Natawan
Gham O Ranj Sy Jigar Chaak Tha
Lahoo Sy Bhara Woh Poshak Tha
Garaan Taoq Ka Tha Gardan Py Haar
Sajjad Ka Wo Imtehan
Kis Tarha Lllut Gaya Hai Bey Kas Ka Qafila
Beparda Binte Haider Ne Roky Di Sada
Mera Nojawan Mera Bezuban
Mera Bawafa Mera Bhai Jaan
Abhi Sab Hain Naizy Pe Sawar
Sajjad Ka Wo Imtehan
Ankhon Sy Khoon Bahaya Ghairat Ky Naam Mein
Beparda Maayen Behnen Baazar E Sham Mein
Tamashai Yun Rulate Rahe
Sitam Par Sitam Woh Dhaty Rahy
Tha Charon Taraf Sy Pathar Ka Waar
Sajjad Ka Wo Imtehan
Seeny Py Sony Wali Girti Thi Khak Par
Bachi Pe Tuny Dhaya Har Ek Sitam Shimar
Rida Chin Gai Chini Balian
Tamanchy Lagy Kabhi Seyliyan
Uthaye Sitam Woh Dill Par Hazaar
Sajjad Ka Wo Imtehan
Tishna Labi Ka Aalam Bachi Thi Noha Gar
Pani Baha Ky Zalim Jalti Zameen Par
Ye Hans Kar Kaha Woh Ammu Tera
Kidhar Kho Gaya Thi Labb Py Buka
Sakina Ki Ghazi Bar Bar
Sajjad Ka Wo Imtehan
Bola Yazid Hans Kar Ay Binte Murtaza
Ab Aasra Tumhara Koi Nahi Raha
To Baalon Sy Munh Chupa Ky Kaha
Main Binte Ali Ay Behaya
Zara Aaza Ky Dekh Aik Baar
Sajjad Ka Wo Imtehan
Yasrab Mein Laot Aaya Lut Kar Yeh Qafila
Maula Ny Dil Ko Thamy Rokar Yehi Kaha
Abhi Yaad Hai Woh Bazar E Sham
Woh Zindan E Sham Woh Darbar E Sham
Phiry Nangy Sar Haaye Sogwaar
Sajjad Ka Wo Imtehan
Sajjad Ki Azaa Ruk Sakti Nahi Kabhi
Duniya Ko Ab Tejani Paigham Do Yehi
Jo Bhi Rokny Ki Koshish Kary
Azaye Hussain Woh Sab Jan Ly
Un Hi Py Hai Lanat Beshumar
Sajjad Ka Wo Imtehan