Reciter: Ahmed Raza Nasiri
Haye Sajjad Haye Beemar Haye Beemar
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Woh Nok E Sinaan Par Sar E Sarwar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Sajjad Ko Gham Taoq Aur Bairhi Ka Nahi Hai
Bazar Mein Zainab Ka Khula Sar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Woh Bhool Gaye Pusht Pay Durray Jo Lagay Thay
Zainab Nay Jo Khaye Hain Woh Pathar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Jis Gham Mein Sada Dhoop Mein Bethi Rahi Madar
Maola Woh Sinaan Par Sar E Asghar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Manga Tha Kaneezi Mein Sakina Ko Jahan Par
Ta Umar Woh Darbar E Sitamgar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Woh Sar Keh Jo Naizay Pay Theharta Hi Nahi Tha
Maola Sar E Abbas E Dilawar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Zindaan Kay Andhairon Mein Jisay Dafn Kiya Tha
Woh Khoon Mein Doobi Hui Khuahar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Naaqay Say Sar E Raah Gira Jab Koi Bacha
Har Bar Giri Zainab E Muztar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Kiun Yasir O Ahmed Na Karay Sham Ka Pursa
Jab Keh Is Ghaibat Mein Bhi Rehbar Nahi Bhoolay
Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi Bhoolay
Urdu Lyrics
ہائے سجاد ہائے بیمار ہائے بیمار
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
وہ نوک سناں پر سر سرور نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
سجاد کو غم طوق اور بیڑی کا نہیں ہے
بازار میں زینب کا کھلا سر نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
وہ بھول گئے پشت پے درے جو لگے تھے
زینب نے جو کھائے ہیں وہ پتھر نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
جس غم میں سدا دھوپ میں بیٹھی رہی مادر
مولا وہ سناں پر سر اصغر نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
مانگا تھا کنیزی میں سکینہ کو جہاں پر
تا عمر وہ دربار ستم گر نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
وہ سر کہ جو نیزے پے ٹھہرتا ہی نہیں تھا
مولا سر عباس دلاور نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
زنداں کے اندھیروں میں جسے دفن کیا تھا
وہ خون میں ڈوبی ہوئی خواہر نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
ناقے سے سر راہ گرا جب کوئی بچہ
ہر بار گری زینب مضطر نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے
کیوں یاسر و احمد نہ کرے شام کا پرسہ
جب کہ اس غیبت میں بھی رہبر نہیں بھولے
سجاد کبھی شام کا منظر نہیں بھولے