Reciter: Farhan Ali Waris

Sajjad Nahi Bhoolay

Zainab Ki Aseeri Ko Aur Sham Ky Manzar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Yun Ajar E Risalat Paya Tha
Har Gaam Ghamon Ka Saya Tha
Tatheer Ky Waris Bey Chadar
Is Bat Ny Khoon Rulwaya Tha
Akbar Ky Lahoo Sy Jo Tar Thi Us Chadar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Yun Chalni Ghamon Sy Sab Dil Thy
Faryad Mein Ansoo Shamil Thy
Afsurda Ali Ki Beti Thi
Aur Shad Ali Ky Qatil Thy
Raahon Ki Aziyat Aur Bazar E Sitamgar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Durron Ki Aziyat Bhool Gaye
Woh Gham Ki Musafat Bhool Gaye
Zanjeer E Giraan Aur Taoq E Guloo
Sadmon Ki Qayamat Bhool Gaye
Mahol Sharabi Aur Bazar E Sitamgar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Go Sabr O Raza Ky Paikar Thy
Lachar Nahi Thy Muztar Thy
Is Darja Uthaye Ranj O Alam
Seeny Mein Sitam Ky Khanjar Thy
Dar Aye Jo Is Dill Mein Us Zulm Ky Khanjar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Ankhon Sy Rawan Tha Khoon E Jigar
Karty Thy Haram Kanton Py Safar
Thi Khaal Juda Un Jismon Sy
Tha Shukar E Khuda Sab Ky Labb Par
Sab Bhool Gaye Lekin Bazar Ky Manzar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Naaqon Sy Giry Atfaal Kai
Raahon Mein Hi Un Ki Qabr Bani
Tukrhy Thy Jigar Un Maaon Ky
Dill Gham Sy Huye Sab Ky Chalni
Ankhon Sy Rawan Tha Jo
Us Gham Ky Samandar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Thi Gulshan E Zehra Par Jo Khizan
Karti Thi Bahar E Aaho Fughan
Ujrha Tha Chaman Yun To Saara
Do Phool Magar Aisy Thy Yahan
Shabbir Ki Dukhtar Ko Bano Ky Gul E Sar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Farhan Mery Ashkon Ki Zubaan
Kar Sakti Nahi Roodad Bayan
Mazhar Ka Qalam Khoon Rony Laga
Yun Khatm Hui Nohon Ki Azan
Jab Tak Bhi Rahy Zinda Maan Behnon Ki Chadar Ko

Sajjad Nahi Bhoolay

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply