Reciter: Mir Hasan Mir

Haye Zahra Haye Sakina

Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Hain Tooti Paslian Dono Ki Halat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Wahan Bint E Rasool Allah Ka Pehloo Shikasta Hai
Yahan Bachi Ke Kanon Se Abhi Bhi Khoon Rista Hai
Lahad Mein Ja Ke Bhi Dono Ki Ghurbat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Wahan Kunfuz Ke Hathon Ne Koi Tehreer Likhi Hai
Yahan Tehreer Zalim Shimr Ke Hathon Ki Milti Hai
Likhi Dono Ke Chehron Par Ibarat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Gaiin Ek Aik Dar Par Fatima Shehar E Madina Mein
Sakina Dar Badar Phirti Rahi Hai Sham O Koofa Mein
Wilayat Ke Liye In Ki Musaafat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Sar E Darbar Dadi Aur Poti Ki Hui Paishi
Woh Atthara Baras Ki Aur Yeh Hai Chaar Barson Ki
Na Janey Phir Bhi Kiun Balon Ki Rangat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Musibat Aik Jaisi Hai

Usy Kehte Thy Yasrab Wale Roye Shehar Se Bahar
Tamanchey Marty Thy Sham Waley Is Ko Rony Par
Dilon Mein Baap Ko Rony Ki Hasrat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Sitam Gar Ke Tamanchey Ki Na Janey Kaisi Zarbat Hai
Saharey Se Chaley Deewar Ke Dono Qayamat Hai
Nazar Kuch Bhi Nahi Ata Basarat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Galy Se Murtaza Ky Rassian Zahra Churhati Hain
Sakina Toaq Py Sajjad Ke Pani Bahati Hai
Imamat Ke Liye Dono Ki Mehnat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Mita Dena Nishan E Qabr Mayyat Qabr Mein Rakh Kar
Wilayat Ka Koi Munkir Nahi Aye Janazey Par
Imam E Waqt Sy Un Ki Wasiyat Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Qayamat Ban Ke Aaya Tha Takallum Waqt Maghrib Ka
Idhar Bali Sakina Ka Udhar Zahra Ka Dam Nikla
Jahan Se In Ke Jane Ki Saa’at Aik Jaisi Hai
Sakina Aur Zahra Ki Museebat Aik Jaisi Hai

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply