Reciter: Irfan Haider

Sakina Sakina Sakina

Qafila Sham Ky Zindan Sy Jab Nikla Riha Ho Kar
Kaha Sajjad Ny Ro Kar
Keh Jab Jab Sans Aye Gi Sakina Yaad Ayegi

Sakina Yaad Ayegi

Na Dy Paya Usy Pani Yehi Bas Ek Udasi Hai
Sakina Kal Bhi Pyasi Thi Sakina Ab Bhi Pyasi Hai
Keh Jab Sughra Madiney Mein Mujhy Pani Pilaye Gi
Sakina Yad Ayegi

Hamesha Shimr Ky Darr Sy Mery Hamraah Rehti Thi
Tamancha Jab Bhi Lagta Tha Mujhy Awaz Deti Thi
Museebat Sham Ki Haye Mujhy Jab Bhi Rulaye Gi
Sakina Yaad Aye Gi

Shab E Ghurbat Mein Asghar Ki Usy Jab Yad Ati Thi
Jaly Jhooly Ky Pas Aa Kar Woh Ashkon Ko Bahati Thi
Ali Asghar Ky Jhooly Par Nazar Jab Meri Jayegi
Sakina Yaad Aaye Gi

Yeh Ro Kar Sham Walon Sy Kaha Sajjad Ny Sun Lo
Kabhi Na Marna Durry Kisi Masoom Bachi Ko
Keh Jab Nanhy Sy Hathon Sy Woh Gaalon Ko Chupaye Gi
Sakina Yaad Aayegi

Padar Ko Yad Karti Thi Andheri Qaid Mein Reh Ky
Sakina Mar Gai Akhir Lipat Kar Bap Ky Sar Sy
Kahani Jab Yeh Sughra Ko Koi Bibi Sunaye Gi
Sakina Yaad Ayegi

Bandhy Thy Hath Bachi Ky Galy Mein Thi Rasan Haye
Barhi Mazloom Thi Pardais Mein Meri Behan Haye
Museebat Chaar Sala Ki Mujhy Har Pal Rulaye Gi
Sakina Yaad Ayegi

Ijazat Den Gi Shehzadi Woh Din Bhi Jald Aye Ga
Bulawa Aaye Ga Zeeshan O Irfan E Aza Sab Ka
Yateema Ky Haram Par Jab Nazar Zayer Ki Jaye Gi
Sakina Yad Aye Gi

 

Sakina

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply