Reciter: Joan Rizvi
Ya Ya Zahra Ya Ya Zahra
Suno Ay Noor E Mashraqain Hamara Salam Ho
Ay Madar E Hussain
Ay Madar E Hussain Hamara Salam Ho
Ya Sayeda Ya Fatima Ya Raziya Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Kab Mili Hai Yeh Kis Ko Bhi Fazeelat Bibi
Hujjaton Kay Liye Bas Aap Hain Hujjat Bibi
Aap Hain Haider E Karrar Ki Taqat Bibi
Raaz E Kibriya Markaz E Kisa Madar E Hussain Bint E Mustafa
Aap Ki Rida Mein Mustafa Ki Hai Shifa
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Ya Sayeda Ya Fatima Ya Raziya Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Keh Rahi Hai Yeh Zamanay Say Hadees E Qudsi
Kuch Nahi Hota Agar Aap Na Hotiin Bibi
Khud Khuda Kehta Hai Na Hotay Muhammad Na Ali
Aap Kay Liye Khalq Hum Huye
Aap Kay Sabab Door Hum Huye
Bas Gham E Hussain Ki Khatir Hamen Chuna
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Ya Sayeda Ya Fatima Ya Raziya Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Aap Woh Beti Hain Jo Baap Ki Maan Kehlaye
Aap Ki Baat Khuda Say Bhi Na Tali Jaye
Aap Kay Kehnay Pay Abbas Zameen Par Aaye
Mehwar E Wafa Aap Ki Dua Panja E Alam Parcham E Aza
Har Alam Say Aa Rahi Hai Bas Yehi Sada
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Ya Sayeda Ya Fatima Ya Raziya Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Jaan Lay Sara Jahan Kon Hain Kya Hain Zahra
Us Say Naraz Hai Rabb Jis Say Khafa Hain Zahra
Marziyan Chalti Hain Jis Ki Woh Riza Hain Zahra
In Say Dushmani Rabb Say Dushmani
Bughz Jo Rakhay Hai Woh Lanati
Surkhroo Wohi Hai Jis Nay Dill Say Keh Diya
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Ya Sayeda Ya Fatima Ya Raziya Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Sakht Ehsan Faramosh Ho Ghaddar Ho Tum
Ummati Ho Kay Muhammad Kay Gunahgar Ho Tum
Haq Nahi Tum Ko Musalman Pukara Jaye
Sirf Allah Ki Lanat Kay Hi Haqdaar Ho Tum
Haqdaar Ho Tum Haqdaar Ho Tum
Jis Nay Bibi Ko Rulaya Hai Ho Us Par Lanat
Bolo Beshumar Bolo Beshumar
Jis Nay Haider Ko Sataya Hai Ho Us Par Lanat
Bolo Beshumar Bolo Beshumar
Jis Nay Darwaza Giraya Hai Ho Us Par Lanat
Jis Nay Tehreer Ko Pharha Hai Ho Us Par Lanat
Aag Us Darr Pay Jo Laya Hai Ho Us Par Lanat
Jis Nay Shehzadi Ko Mara Hai Ho Us Par Lanat
Jis Nay Jhutlaya Wilayat Ko Ho Us Par Lanat
Jis Nay Tarhpaya Nabuwwat Ko Ho Us Par Lanat
Aal E Ahmad Ka Jo Qatil Hai Ho Us Par Lanat
Jo Sitamgaron Mein Shamil Hai Ho Us Par Lanat
Bey Shumar Bey Shumar Bey Shumar
Haye Zahra Haye Zahra Haye Zahra
Jab Woh Darwaza Gira Bibi Nay Kya Kya Daikha
Pasliyan Toot Gaiin Pehloo Shikasta Daikha
Apnay Mohsin Ki Rawan Sanson Ko Rukta Daikha
Hath Jal Gaye Khoon Bhi Baha
Zulm Aap Nay Kya Nahi Saha
Han Magar Ali Say Jaa Kay Kuch Nahi Kaha
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Haye Sayeda Haye Fatima Haye Raziya Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Aisay Ummat Nay Diya Baap Ka Pursa Bibi
Jis Nay Jis Tarah Say Bhi Chaha Rulaya Bibi
Aik Zalim Nay Tamancha Bhi Lagaya Bibi
Ro Rahay Hain Hum Haye Woh Sitam
Aap Ko Milay Sirf Gham Hi Gham
Hai Hussainiyon Kay Labb Pay Bas Yehi Sada
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Haye Sayeda Haye Fatima Haye Raziya Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Karbala Walon Pay Jitnay Bhi Sitam Dhaye Gaye
Sayeda Aap Pay Tanha Woh Madinay Mein Huye
Joan O Zeeshan Bhi Rotay Hain Yeh Ghurbat Sun Kay
Haye Sayeda Haye Fatima Waa Museebata Waa Museebata
Aap Ko Salam Kar Rahi Hai Karbala
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Haye Sayeda Haye Fatima Haye Raziya Salam Ya Zahra Salam Ya Zahra
Ya Ya Zahra Ya Ya Zahra
Sayeda Fatima Raziya Sayeda