Reciter: Tejani Brothers

Thararahi hai dharti, ye kon aaraha hai
Tu kon hai sawari, lashkar se ye sada hai,
Sar ko buland karke, wo shaks kehraha hai

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Bachpan mei lori sunaakar, mujhko sikhaayi hai madar
Sunlo zara mere bete, Zainab ko hai naaz tumpar
Bolo hai Shabbir aqa, haa(n) bas mei nokar hu(n) uska, Abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Shazadiyo(n) ka jigar hu(n), hashim ke gar ka qamar hu(n) Zahra ne jo rab se mangi, mei wo dua ka asar hu(n) Salaar hu mei haram ka, haqdaar hu mei alam ka, Abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Mei josh mei aagaya hu(n), khaybar ka manzar dikhaadu(n) Talwaar bin bhi tumhaare, aakar mei gardan urhaadu(n) Ghayro(n) na warna karunga, mushkil mei jeena tumhaara, Abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Saara arab jaanta hai, jarrar ibn-e-jali hu(n)
Tum mei hai jo khof-e-haider, samjho ke khud mei Ali hu(n) Ehle wafa ka hun kabaa, baba ne is tarha pala, abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Himmat agar hai kissi mei, is sheyr se aake larna,
Maqtal se kyu bhaagte ho, laakho(n) ho tum mei hun tanha

Ik haath mei cheen lunga, dariya ka har eik qatra, Abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Mene Sakina ka kuza, baandha hai apne alam se
Parwa nahi mujhko apni, mashk ko bachawunga dam se
Bacho(n) se mene kaha tha, koi rahega na pyasa, Abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Kitna masum hai pyara hai bhala hai abbas,
Dile haidare karrar ki tamanna hai abbas
God me mus-haffe natiq ki pala hai abbas
To, din me suraj se bara hai abbas
Fatema Zahra ki mun mangi dua hai abbas
Panjaten panch ne ek saath milke dua mangi
Tab kahi jaake zamane ko mila hai abbas
Istarha jang ke maidan me karra hai abbas
Sochiye haidere karrar hai ya hai abbas
To baap agar chehe to dare khaibar lele
Beta agar chillu me chaahe samandar lele

Darya mei parcham ko ghaara, haatho(n) mei paani uthaaya Hai inteha ye wafa ki, Lab par na paani ko laaya
Bola ke kaise piyunga, pyaasi hai meri Sakina, Abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

arya pe ab aagaya hu(n), mashkiza bhi bhar liya hu(n)
Ghore pe hoke sawaari, khaymo(n) ko ab lot’ta hu(n)
Darpe khari hai Sakina, takti hai wo mera rasta, Abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Afsos kat’ke gire the, ghazi ke bazu zami(n) par

Mashkiza bhi chid gaya aur, zee(n) se gira ibn-e-haider
Ghabra ke boli Sakina, ata hai kyu(n) ab na naara, Abbas hai naam mera

Sheyr-e-khuda ka hu(n) beta, Mujhse na koi bachega, Abbas hai naam mera

Duba huwa tha lahu mei, ghazi ka lasha “tejani”
Bazu qalam hogaye aur, jalti zamee(n) pe tha pani
Shabbir rokar ye bola, phir se pukaaro ay bhayya, Abbas hai naam mera

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply