Reciter: Mir Hasan Mir
Abbas Haye Abbas
Sar E Abbas Ata Hai
Kaha Zainab Ny Yeh Ro Kar
Sambhalo Bibion Chadar
Sar E Abbas Ata Hai
Bula Laye Sakina Ko
Koi Zindaan Sy Ja Kar
Sar E Abbas Ata Hai
Kaha Zainab Ny Yeh Ro Kar
Sambhalo Bibion Chadar
Sar E Abbas Ata Hai
Yeh Ghairat Ka Khuda Hai Is Ki Ghairat Ka Taqaza Tha
Khula Sar Dekh Ky Naizay Sy Jo Yeh Sar Girata Tha
Nahi Hai Pas Gar Chadar To Rakh Lo Hath Hi Sar Par
Sar E Abbas Ata Hai
Kaha Zainab Ny Yeh Ro Kar
Sambhalo Bibion Chadar
Sar E Abbas Ata Hai
Bhala Ho Ga Lahoo Ankhon Mein Us Ki Khud Hataun Gi
Main Bachpan Ki Tarha Sy Bhai Ka Chehra Dhulaun Gi
Agar Mumkin Hai To Dy Dy Koi Pani Mujhy La Kar
Sar E Abbas Ata Hai
Kaha Zainab Ny Yeh Ro Kar
Sambhalo Bibion Chadar
Sar E Abbas Ata Hai
Mujhy Uthna Parhy Ga Bibion Tazeem Ko Us Ki
Main Maan Ummul Baneen Ki Samt Sy Ghazi Ko Choomon Gi
Sambhaly Sar Koi Aon O Muhammad Ky Yahan Aa Kar
Sar E Abbas Ata Hai
Kaha Zainab Ny Yeh Ro Kar
Sambhalo Bibion Chadar
Sar E Abbas Ata Hai
Isi Ehsas Sy Us Ny Nazar Apni Jhukai Hai
Usy Maloom Hai Yeh Kitna Ghairat Mand Bhai Hai
Chupaye Kis Tarah Zainab Parhy Hain Neel Shaanon Par
Sar E Abbas Ata Hai
Kaha Zainab Ny Yeh Ro Kar
Sambhalo Bibion Chadar
Sar E Abbas Ata Hai
Mila Pani Usy Poocha To Kya Batlaye Gi Zainab
Bhala Us Ki Bhateeji Ko Kahan Sy Laye Gi Zainab
Nigahen Us Ki Dhunden Gi Sakina Ko Yahan Aa Kar
Sar E Abbas Ata Hai
Kaha Zainab Ny Yeh Ro Kar
Sambhalo Bibion Chadar
Sar E Abbas Ata Hai
Thy Sab Ki Jholion Mein Apny Apny Laadlon Ky Sar
Ruqaiyya Umme Laila Umme Farwa Madar E Asghar
Uthi Kehty Huye Har Maan Sar Apny Laal Ka Rakh Kar
Sar E Abbas Ata Hai
Kaha Zainab Ny Yeh Ro Kar
Sambhalo Bibion Chadar
Sar E Abbas Ata Hai
Takallum Shamion Ki Auraten Bhi Roti Jati Hain
Ali Ki Betian Jaldi Sy Zakhmon Ko Chupati Hain
Kharhi Hai Hath Phailaye Huye Khud Zainab E Muztar
Sar E Abbas Ata Hai
Sar E Abbas Ata Hai