Reciter: Nadeem Sarwar

Ay Mere Dais K Logo Meri Awaz Suno
Meri Awaz Mein Maqtal Ka Yeh Aghaz Suno

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Ao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Jis Tarha Sani E Zahra Ny Isy Aam Kiya
Aik Zanjeer Ki Jhankaar Ny Woh Kam Kiya

Jis Tarha Sy Shohada Ny Safar E Sham Kiya
Yani Naizon Sy Buland Aur Bhi Islam Kiya

Hum Isi Tarz E Qayadat Ki Adaa Aam Karein
Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Aao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Yeh Jo Majlis Hai Madawa Hai Har Ek Gham K Liye
Ek Soghat Hai Yeh Deeda E Pur Num K Liye
Soz E Dil Chahiye Tehzeeb E Muharram K Liye
Koi Tafreeq Nahi Halqa E Matam K Liye
Rony Walon K Liye Farsh E Aza Aam Karein

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Aao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Aao Dekho Ky Yeh Khaima Yeh Alam Kis Ka Hai
Khoon Sy Naam Yeh Sehra Mein Raqam Kis Ka Hai
Abhi Tareekh Sy Agy Yeh Qadam Kis Ka Hai
Sari Duniya Ko Bata Dein Ky Yeh Gham Kis Ka Hai
Sari Duniya K Liye Gham Ki Fiza Aam Karein

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Aao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Tum Bhi Seeney Mein Yeh Gham Ly K Chalo Hum Bhi Chalen
Tum Bhi Inkar E Sitam Ly K Chalo Hum Bhi Chalen
Tum Bhi Haq Ka Yeh Hasham Ly K Chalo Hum Bhi Chalen
Tum Bhi Ghazi Ka Alam Ly K Chalo Hum Bhi Chalen
Har Zamaney K Liye Zikr E Wafa Aam Karein

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Ham Na Rahen
Ao Aik Kam Karein Karbala Aam Karen

Aik Aijaaz To Tareekh Ny Dekha Na Suna
Jo Diya Noor Ky Hathon Shab E Ashoor Bhuja
Sab Shaheedon Ky Dilon Mein Woh Diya Ja K Jala
Aaj Bhi Roshni Deta Hai Wohi Aik Diya
Har Andhairey Mein Wohi Aik Diya Aam Karein

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Aao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Pas Shabbir Ky Apni Bhi Hai, Aghiar Bhi Hai
Khandan E Bani Hashim Bhi Hai, Ansaar Bhi Hain
Hurr Bhi Hai, Jaon Bhi Hai, Akbar E Jarrar Bhi Hai
Jan Deny K Liye Subho Sy Tyar Bhi Hain
Aisy Maqtal Ki Fiza Ko Ba Khuda Aam Karein

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Aao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Qafila Reh Gaya Ek Dasht E Bala Mein Pyasa
Jin Ki Meeras Thi Kosar Unhen Pani Na Mila
Yeh Sabeelen Un Hi Pyason Sy Wafa Hain Ba Khuda
Koi Pyasa Na Rahe Thi Yeh Sakina Ki Dua
Har Zameen Par Yeh Sakina Ki Dua Aam Karein

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Aao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Rehnuma Qatl Hua Qatl Qayadat Na Hui
Ek Imam Aur Barha, Khatm Imamat Na Hui
Jism Ronday Gaye, Pamaal Shariyat Na Hui
Chadaren Chinn Gaiin, Batil Ki Hukoomat Na Hui
Yeh Muhammad Ky Gharany Ki Wafa Aam Karein

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Aao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Mery Maula Mery Aaqa Yeh Tera Gham Na Ruky
Kitny Toofan Bhi Hilal Aaye Magar Hum Na Ruky
Ay Azadar Yeh Majlis Yeh Muharram Na Ruke
Waqt Kitna Hi Badal Jaye Yeh Matam Na Ruky
Yeh Shaheedon Ka Hai Matam Ba Khuda Aam Karein

Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahen
Aao Ek Kam Karein Karbala Aam Karein

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply