Reciter: Nadeem Sarwar

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan

Sarbaan Sarbaan

Wapas Madiney Aa Gaya
Lo Karwan Ujra Hua
Ujri Thiin Sari Bibiya
Sajjad Ka Noha Yeh Tha
Royen Gy Taoq O Bairiyan
Woh Shaam Aur Main Alaman
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan

Logon Madina Lut Gaya
Koi Nahi Mery Siwa
Daghon Sy Hai Seena Bhara
Tanha Karun Kya Kya Bayan
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan

Tha Jab Talak Woh Mehrban
Abbas Meer E Karwan
Mara Gaya Kya Nagahaan
Akhir Liya Un Ka Nishan
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan

Kitna Kathan Tha Woh Safar
Naizon Py Thy Pyaron Ky Sar
Uthti Na Thi Meri Nazar
Bey Parda Behnen Aur Maan
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan

Gham Tha Qayamat Sy Barha
Charon Taraf Thy Ashqiya
Namoos Meri Bey Rida
Rota Tha Sun Sun Kar Aza
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natwan, Sarban
Sarbaan Sarbaan

Kya Ronaq E Bazar Thi
Pathar Ki Bhi Bochar Thi
Aur Woh Hansi Kuffar Ki
Khamosh Thi Meri Zubaan
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghumzada, Natawan, Sarbaan
Sarban Sarban

Us Sham Ky Bazar Ny
Woh Gham Diye Darbar Ny
Jab Main Laga Lalkarny
Deny Lagy Zalim Aza
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan

Tha Jab Talak Woh Mehrban
Abbas Meer E Karwan
Mara Gaya Kya Nagahan
Akhir Liye Un Ka Nishan
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan

Logo Madina Lut Gaya
Koi Nahi Mery Siwa
Daghon Sy Hai Seena Bhara
Tanha Karun Kya Kya Bayan
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan

Rehan O Sarwar Umr Bhar
Ankhen Rahen Gi Noha Gar
Jis Waqt Farsh E Dard Par
Nohay Mein Yeh Ho Ga Bayan
Aisa Bana Main Sarbaan

Maula Ghamzada, Natawan, Sarbaan
Sarbaan Sarbaan

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply