Reciter: Tejani Brothers

As-salaam alayki ya binte ameeral mo’mineen
As-salaam alayki ya binte khairu nisaail alameen
As-salaam alayki ya zainabal kubra

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

itni duayen aaye hai leykar,
mang rahe hain aapke dar par
rad na karo jo kehte hain rokar
sunlo sadaen, shah ki khahar
sar pe jo gham hai, usse chhurawo, ay meri bibi shaam bulawo

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

aik gari aur, jee nahi sakte
kyun ke abhi hum, door hai tumse
ankhon se ansu, girte rahenge
humko sada do marne se pehle
jo bhi rukawat, hai wo hatawo, ay meri bibi, sham bulawo

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

jinno bashar ho, ya ho farishta
tere hi dar par kerta hai sajda
binte ali ye martaba tera,
teri ziyarat karti hai duniya
ab tera roza, humko dikhawo, ay meri bibi sham bulawo

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

itne masayib jhele hai dilpar
karbobala aur sham ka manzar
khaymon se dekha kat ta huwa sar
bhayi ka tumne jalti zamin par
sabr ki malka, sabr sikhawo, ay meri bibi shaam bulawo

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

zulm se ddubi, aaj hai duniya
rote hain mazloom, karte hai nawha
dil me dua aur lab pe hai nara
kisse kahe ab dard ye dil ka
jine ki surat, humko sikhawo, ay meri bibi sham bulawo

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

shaam me aake dekhenge janat,
kaash humari, hogi ye kismat
maut bhi aye aur qayamat,
tumse na hargiz, hoge yu(n) rukhsat
jaan humari, ake bachawo, ay meri bibi sham bulawo

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

jinki bhi ab tak, godi hai khali
bete ata kar, unko ay bibi
mang rahe hai, tumse ye jo bhi
karde ata sab barde wo joli
ab to madad tum, karne ko awo, ay meri bibi sham bulawo

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

dekhna hai humko tera roza
aake sunaenge yahi nawha
tujhse kahenge dil ki tammanna
ab hai “tejani” ka yahi wada
humko sada do, aur bulawo, ay meri bibi sham bulawo

sham bulawo, sham bulawo, ay meri bibi, sham bulawo

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply