Reciter: Nadeem Sarwar

Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Kartay Thay Haram Peet Ky Sar Aah O Fughan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Sar Nangay Hain Batla Meri Chadar Hai Kahan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Pani To Nahi Hai Munh Ashkon Say Dho Lay
Aa Sath Tery Hum Jee Khol Ky Ro Lain
Karnay Nahi Dain Gay Yeh Laeen Aah O Fughan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Roti Thi Yeh Keh Kar Bechari Sakina
Dushwar Hai Ab To Do Din Mera Jeena
Yad Ayen Gay Baba Mujhay Jaun Gi Jahan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Han Dhund Ky Laa Dey Woh Naazon Ka Pala
Batla Day Kahan Hai Woh Gaisoo’on Wala
Ham Shakal E Payambar Jisay Kehta Tha Jahan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Asghar Bhi Nahi Hai Akbar Bhi Nahi Hai
Abbas Nahi Hai Sarwar Bhi Nahi Hai
Beemar Say Uthay Ga Kahan Baar E Giraan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Kaisa Tha Bhara Ghar Jab Ghar Say Chalay Hain
Asbab Luta Aur Khaimay Bhi Jalay Hain
Yeh Dekh Ky Uthta Hai Kalaijay Say Dhuwan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Daikha Hai Kabhi Yun Ghar Ujrha Kisi Ka
Jis Tarah Say Ujrha Hai Kunba Nabi Ka
Ek Roz Mein Sab Qatal Huye Peer O Jawan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Thi Samnay Teray Dariya Ki Rawani
Ek Qatra Na Paya Shabbir Nay Pani
Kis Kam Ka Duniya Mein Hai Yeh Aab E Rawan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Zindan Ki Museebat Aur Bali Sakina
Bin Baap Ky Jis Ka Dushwar Hai Jeena
Neend Aye Gi Zindaan Mein Sakina Ko Kahan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Yeh Zikr E Shah E Deen Mehshar Hai Ibadat
Paye Ga Isi Say Mehshar Mein Shifa’at
Tasbeeh Hi Bana Ashkon Ki Nohay Ko Azaan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Sar Nangay Batla Meri Chadar Hai Kahan
Sham E Ghareeban Aye Sham E Ghareeban

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply