Reciter: Farhan Ali Waris
Aksar Namaz E Shab Mein Dua Kartay Thay Shabbir
Ek Phool Si Beti Dey Mujhay Kaatib E Taqdeer
Shabbir Ko Khaliq Nay Sakina Jo Ataa Ki
Zainab Ki Si Soorat Thi Sab Us Maah Laqa Ki
Jis Dam Diya Godi Mein Usy Laa Kay Chacha Ki
Hathon Pa Us Ko Lay Kar Ghazi Nay Dua Di
Rakhay Tujhay Ay Laadli Allah Salamat
Duniya Mein Teray Sar Pa Rahen Shah Salamat
Sakina Sakina
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki
Seerat E Zehra Thi Jis Mein Thi Sakina Woh Kitaab
Goud Mein Lety Thay Ghazi Aur Kabhi Umme Rabaab
Seena E Shabbir Par Jo Phool Si Khilti Rahi
Zainab O Kulsoom Ky Jo Saye Mein Palti Rahi
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki
Na Kisi Gham Ka Tasawwur Tha Na Ranj O Yaas Ka
Paya Is Bachi Nay Jhoola Bazu E Abbas Ka
Naqsh Tha Us Naazneen Ky Dill Py Naam Abbas Ka
Yun Samajh Lo Pehnay Rehti Thi Wo Taweez E Wafa
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki
Naaz Uthati Thiin Sakina Ky Sabhi Shehzadian
Qissa Khaibar Suna Kar Deti Thiin Maan Loriyan
Zanu E Madar Py Takiya Tha Kabhi Taqdeer Par
Chain Say Soti Thi Shab Ko Seena E Shabbir Par
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki
Daikhtay Hi Daikhtay Woh Do Baras Ki Ho Gai
Bachiyon Ky Khailnay Ki Umar Hoti Hai Yehi
Khailti Thi Ghar Ky Aangan Mein Kabhi Sughra Kay Sath
Ghoomnay Jati Kabhi Akbar Kabhi Baba Kay Sath
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki
Khail Ky Doran Lagti Thi Sakina Ko Jo Pyas
Dorh Ky Jati Thi Bachi Us Gharhi Ammu Ky Pas
Haye Kya Din Thay Keh Pani Maanga Aur Pani Mila
Aur Ek Woh Waqt Pyasi Thi Sar E Karbobala
Shah Ki Pyari Sakina Ladli Abbas Ki
Al Gharaz Behr E Safar Jab Ghar Say Niklay Shah E Deen
Raah Mein Kitni Aziyat Seh Gai Woh Naazneen
Dasht Mein Pyasi Rahi Aur Baap Ki Furqat Sahi
Qaid Ho Kar Phir Woh Bachi Shaam Ky Zindaan Gai
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki
Umar Ky Baqi Jo Din Thay Woh Guzaray Qaid Mein
Kal Talak Aabad Tha Ghar Ab Hain Saray Qaid Mein
Qaid Khanay Kay Masayeb Qalb Par Sehti Rahi
Haye Baba Haye Baba Raat Din Kehti Rahi
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki
Maar Dala Qaid Khanay Mein Usay Uftaad Nay
Qabr Mein Us Ko Utaara Sayed E Sajjad Nay
Roza E Bali Sakina Par Jo Mazhar Abidi
Jaye Ga Farhan Lab Par Ho Ga Noha Bas Yehi
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki