Khairilamal

Shah Ki Pyari Sakina Lyrics Farhan Ali Waris Noha 2007

Language: Urdu
Reciter: Farhan Ali Waris
Recitation Type: Noha
Year: 2007

Shah Ki Pyari Sakina Lyrics written in english text and recited by noha khuwan Farhan Ali Waris in 2007. View Farhan Ali Waris noha lyrics similar to lyrics of Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki on Khairilamal.

Shah Ki Pyari Sakina Lyrics by Farhan Ali Waris in English text

Aksar Namaz E Shab Mein Dua Kartay Thay Shabbir
Ek Phool Si Beti Dey Mujhay Kaatib E Taqdeer

Shabbir Ko Khaliq Nay Sakina Jo Ataa Ki
Zainab Ki Si Soorat Thi Sab Us Maah Laqa Ki

Jis Dam Diya Godi Mein Usy Laa Kay Chacha Ki
Hathon Pa Us Ko Lay Kar Ghazi Nay Dua Di

Rakhay Tujhay Ay Laadli Allah Salamat
Duniya Mein Teray Sar Pa Rahen Shah Salamat

Sakina Sakina
Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Seerat E Zehra Thi Jis Mein Thi Sakina Woh Kitaab
Goud Mein Lety Thay Ghazi Aur Kabhi Umme Rabaab
Seena E Shabbir Par Jo Phool Si Khilti Rahi
Zainab O Kulsoom Ky Jo Saye Mein Palti Rahi

Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Na Kisi Gham Ka Tasawwur Tha Na Ranj O Yaas Ka
Paya Is Bachi Nay Jhoola Bazu E Abbas Ka
Naqsh Tha Us Naazneen Ky Dill Py Naam Abbas Ka
Yun Samajh Lo Pehnay Rehti Thi Wo Taweez E Wafa

Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Naaz Uthati Thiin Sakina Ky Sabhi Shehzadian
Qissa Khaibar Suna Kar Deti Thiin Maan Loriyan
Zanu E Madar Py Takiya Tha Kabhi Taqdeer Par
Chain Say Soti Thi Shab Ko Seena E Shabbir Par

Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Daikhtay Hi Daikhtay Woh Do Baras Ki Ho Gai
Bachiyon Ky Khailnay Ki Umar Hoti Hai Yehi
Khailti Thi Ghar Ky Aangan Mein Kabhi Sughra Kay Sath
Ghoomnay Jati Kabhi Akbar Kabhi Baba Kay Sath

Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Khail Ky Doran Lagti Thi Sakina Ko Jo Pyas
Dorh Ky Jati Thi Bachi Us Gharhi Ammu Ky Pas
Haye Kya Din Thay Keh Pani Maanga Aur Pani Mila
Aur Ek Woh Waqt Pyasi Thi Sar E Karbobala

Shah Ki Pyari Sakina Ladli Abbas Ki

Al Gharaz Behr E Safar Jab Ghar Say Niklay Shah E Deen
Raah Mein Kitni Aziyat Seh Gai Woh Naazneen
Dasht Mein Pyasi Rahi Aur Baap Ki Furqat Sahi
Qaid Ho Kar Phir Woh Bachi Shaam Ky Zindaan Gai

Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Umar Ky Baqi Jo Din Thay Woh Guzaray Qaid Mein
Kal Talak Aabad Tha Ghar Ab Hain Saray Qaid Mein
Qaid Khanay Kay Masayeb Qalb Par Sehti Rahi
Haye Baba Haye Baba Raat Din Kehti Rahi

Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Maar Dala Qaid Khanay Mein Usay Uftaad Nay
Qabr Mein Us Ko Utaara Sayed E Sajjad Nay
Roza E Bali Sakina Par Jo Mazhar Abidi
Jaye Ga Farhan Lab Par Ho Ga Noha Bas Yehi

Shah Ki Pyari Sakina Laadli Abbas Ki

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *