Reciter: Farhan Ali Waris
Haye
Waqiya Ranj O Masayeb Ka Bayan Karta Hun
Koofiyon Nay Jo Kiye Zulm Ayaan Karta Hun
Jis Gharhi Mein Koofay Mein Muslim Nay Shahadat Pai
Un Ky Do Beton Ki Qismat Mein Yateemi Aai
Baap Ky Marnay Say Dushman Ki Jo Haibat Chaai
Darr Ky Jharhi Mein Chupay Aa Kay Woh Dono Bhai
Haye Is Umar Mein Masoomon Py Kaisi Baidad
Dill Mein Gham Ankhon Mein Aansoo Thay Labon Par Faryad
Kehtay Hain Jharhi Ky Nazdeek Thi Ek Nehr E Rawaan
Laondi Haris Ki Jo Pani K Liye Aai Wahan
Sun Ky Ronay Ki Sada Ho Gai Dill Mein Hairan
Barh Ky Daikha To Nazar Aa Gaye Do Bachay Nihaan
Boli Kiun Rotay Ho Gham Kya Hai Pisar Kis Kay Ho
Chup Ky Kiun Bethay Ho Tum Noor E Nazar Kis Kay Ho
Daikh Kar Mehrban Aurat Ko Woh Bolay Ro Kar
Haye Kis Tarah Kahen Kis Ky Hain Hum Noor E Nazar
Hum Muhammad Kay Nawasay Hain To Muslim Ky Pisar
Lut Gaye Hum Keh Yahan Mara Gaya Apna Padar
Koofi Dushman Huye Qismat Mein Siyahi Aai
Haye Pardais Mein Yeh Kaisi Tabahi Aai
Londi Ghar Lay Ky Unhen Aa Gai Ba Deeda E Nam
Apni Bibi Say Kahi Bachon Ki Roodad E Alam
Daikh Ky Bachon Ko Bibi Ko Hua Behad Gham
Boli Afsos Keh Masoomon Py Yeh Zulm O Sitam
Kitnay Bey Dard Sitam Garr Hain Yeh Koofay Walay
Un Py Kartay Hain Sitam Jo Hain Nabi Kay Palay
Khana Khilwa Keh Unhen Bibi Nay Posheeda Kiya
Raat Ko Haris Badzaat Jo Ghar Ko Aaya
Bola Biwi Say Bahut Thak Gaya Kuch Khanay Ko Laa
Subho Say Bachon Ko Muslim Kay Main Har Soo Dhunda
Hath Aa Jayen Agar Bachay To Inaam Milay
Zar O Jageer Milay Rutba Milay Naam Milay
Keh Keh Yeh Khanay Ko Phir Beth Gaya Woh Khud Sarr
Bachay Thay Neend Mein Khoye Huye Hujray Mein Udhar
Haye Qismat Keh Unhen Khawab Mein Yeh Aaya Nazar
Samnay Khoon Mein Dooba Hai Kharha Un Ka Padar
Cheekh Uthay Khawab Mein Yeh Daikh Ky Dono Bhai
Kaan Mein Haris E Maloon Kay Awaz Aai
Ho Gai Haris E Badzaat Ko Jab Is Ki Khabar
Kheench Ky Bachon Ko Woh Hujray Say Woh Laya Baahar
Jab Keh Maloom Hua Dono Hain Muslim Ky Pisar
Taigh Uthai Keh Karay Tann Say Juda Bachon Kay Sar
Hath Ko Tham Kay Bibi Nay Kaha O Zaalim
Yeh Hain Aulad E Nabi Baap Hai In Ka Muslim
Jhatka Mara To Hui Zakhmi Giri Bechari
Londi Nay Roka To Talwar Usay Bhi Mari
Bachay Kartay Hi Rahay Minnaten Aah O Zaari
Rehm Aaya Na Usay Josh Tha Us Par Tari
Bola Main Qatal Karun Ga Tumhein Paun Ga Inaam
Ahl E Koofa Mein Barhay Ga Mera Rutba Mera Naam
Chota Bola Yehi Marzi Hai To Pehly Mujhy Maar
Aur Barha Kehta Tha Zaalim Mera Sar Pehly Utaar
Haye Bey Dard Nay Jo Khainch Ky Mari Talwar
Lashen Jab Tarhpiin To Tharrai Zameen Bhi Ek Baar
Aasman Ro Diya Bachon Nay Shahadat Paai
Haye Zehra Ky Gulistan Py Tabahi Aai
Sun Ky Yeh Gham Ki Khabar Khuld Say Aaiin Zehra
Maayel Seena Zani Honton Py Thi Aah O Buka
Pahunchiin Jab Nehr Ky Nazdeek To Gham Aur Barha
Nehr Mein Bachon Ky Lashon Ko Jo Behtay Daikha
Ro Ky Kehti Thiin Sitam Kaisa Yeh Aflaak Hua
Haye Is Gham Say Muhammad Ka Jigar Chaak Hua