Reciter: Farhan Ali Waris

Ya Abbas Ya Abbas

Shanay Kata Kay So Gaya Ghazi Furaat Par
Likh Kar Gaya Hai Dastaan Pyasi Furaat Par

Shanay Kata Kay So Gaya Ghazi Furaat Par

Ammu Meri Zuban Par Chalay Hi Reh Gaye
Faryad Yeh Sakina Ki Pahunchi Furaat Par

Shanay Kata Kay So Gaya Ghazi Furaat Par

Ek Akhri Sahara Bhi Afsos Chin Gaya
Husn E Jafa Hussain Par Bhai Furaat Par

Shanay Kata Kay So Gaya Ghazi Furaat Par

Koozy Jo Khushk Thy Inhen Pani Na Mil Saka
Shair E Jari Ko Maot Jo Aai Furaat Par

Shanay Kata Kay So Gaya Ghazi Furaat Par

Kya Dukhtar E Hussain Ko Mara Kisi Ny Phir
Ghazi Ki Lash Dard Sy Tarhpi Furaat Par

Shanay Kata Kay So Gaya Ghazi Furaat Par

Zainab Pukari Kya Karun Haye Haye Mery Khuda
Maiyyat Mery Naseeb Ki Uthi Furaat Par

Shanay Kata Kay So Gaya Ghazi Furaat Par

Husn E Wafa Ki Dastaan Ay Mazhar Abidi
Shah Ny Qalam Kara Ky Bhi Likhi Furaat Par

Shanay Kata Kay So Gaya Ghazi Furaat Par

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply