Reciter: Joan Rizvi
Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Zamana Har Namaz Mein Duayen Mangta Raha
Magar Khuda Ki Raah Ka Pata Na Us Ko Mil Saka
Sirat E Mustaqeem Us Ky Naam Likh Chuka Khuda
Woh Jis Nay Raah E Ishq Mein Tamam Ghar Luta Diya
Kata Ky Sar Woh Chaa Gaya
Khuda Ka Deen Bacha Gaya
Han Kibriya Ky Noor Say
Dilon Py Yeh Likha Gaya
Sirat E Mustaqeem Hai Bahut Azeem Sirat E Mustaqeem
Sirat E Mustaqeem Ya Hussain
Hai Bahut Azeem Ya Hussain
Hussain Har Jawaz Mein Khuda Ky Raaz O Naaz Mein
Yeh Jibraeel Ny Kaha Rasool Sy Namaz Mein
Khuda Ka Hukm Hai Yehi Barha Do Sajday Ko Nabi
Na Sar Uthy Hussain Hai Sawar Pusht Par Abhi
Yani Yeh Faisla Kar Chuka Hai Khuda Keh Do Ay Mustafa
Sirat E Mustaqeem Ya Hussain
Hai Bahut Azeem Ya Hussain
Mola Sirat E Mustaqeem Wallah Kareem Ibne Kareem
Ay Badnaseeb Kam Nazar Bhatak Raha Hai Tu Kidhar
Sirat E Mustaqeem Ki Talash Mein Idhar Udhar
Abhi Bhi Waqt Hai Sambhal Naseeb Apna Khud Badal
Khuda Ko Dhundna Hai To Jahan Hussainiat Hai Chal
Aa Chalen Karbala Ho Ga Razi Khuda
Tu Bhi Keh Dy Zara Ya Hussain
Sirat E Mustaqeem Ya Hussain
Hai Bahut Azeem Ya Hussain
Jo Sab Sy Behtreen Hai Hussain Hi Woh Deen Hai
Ali Ka Noor E Ain Hai Nabi Ka Dil Nasheen Hai
Hussain Bey Misal Hai Kamal Hi Kamal Hai
Hussain Bas Hussain Hai Hussain La Zawaal Hai
Wali E Karbala Yeh Safeer E Khuda Haq Ka Yeh Raasta
Sirat E Mustaqeem Ya Hussain
Hai Bahut Azeem Ya Hussain
Hussain Mola Sirat E Mustaqeen
Wallah Kareem Ibne Kareem
Gali Gali Nagar Nagar Sikha Ky Matami Safar
Chalaya Maaon Ny Hamen Sirat E Mustaqeem Par
Bataya Maan Ny Dam Badam Hussain K Liye Hain Hum
Hussainiat Ki Raah Mein Kabhi Nahi Ruken Qadam
Jab Bhi Ghar Sy Chala Meri Maan Ny Kaha Yad Rakhna Sada
Sirat E Mustaqeem Ya Hussain
Hai Bahut Azeem Ya Hussain
Nikal Sitam Ki Raah Say Yazeed Ki Panah Say
Ay Hurr Na Bey Qaraar Ho Mila Ly Khud Ko Shah Say
Suni Jo Hurr Ny Yeh Sada Sooye Hussain Woh Chala
Ghulam Aur Pisar Bhi Thy Labon Py Thi Yeh Sada
Mera Aaqa Hussain Mera Mola Hussain Bas Yeh Kehta Raha
Sirat E Mustaqeem Ya Hussain
Hai Bahut Azeem Ya Hussain
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Sirat E Mustaqeem Ya Hussain Ya Hussain
Azeem Aur Kareem Ya Hussain Ya Hussain
Faqeer Ka Bharam Ya Hussain Ya Hussain
Dilon Py Hai Raqam Ya Hussain Ya Hussain
Hamara Aasra Ya Hussain Ya Hussain
Khuda Ka Rasta Ya Hussain Ya Hussain
Azaan Ki Azaa Ya Hussain Ya Hussain
Pukaray Aasman Ya Hussain Ya Hussain
Batool Ka Haseen Ya Hussain Ya Hussain
Ali Ka Janasheen Ya Hussain Ya Hussain
Shaheed E Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Ghareeb E Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
Ghareeb E Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Ay Hussain Haye Hussain Ay Hussain Haye Hussain
Hussain Hussain Ay Hussain
Hussain Hai Woh Bey Watan Mila Nahi Jisy Kafan
Isi Ki Zakhmi Lash Par Tarhapti Reh Gai Bahan
Badan Tha Samnay Magar Kata Hua Tha Is Ka Sar
Thy Zakhm Is Ky Pairahan Ghareeb Tha Yeh Kis Qadar
Ay Husssain Haye Hussain Ay Hussain Haye Hussain
Sakina Is Ki Lash Par Jab Aaiin Tham Kar Jigar
Badan Mein Teer Dekh Ky Kaha Tarhap Ky Ay Pidar
Suno Meri Sada Suno Sakina Ai Hai Utho
Andhera Ban Mein Chaa Gaya Ay Mery Baba Ghar Chalo
Haye Hussain Haye Hussain Haye Husssain Haye Hussain
Yeh Sun Ky Shimr Aa Gaya Sakina Ki Taraf Barha
Churha Ky Lash Sy Usy Tamanchay Marta Raha
Suny Jo Laadli Ky Bayn Na Aaye Lash Ko Bhi Chain
Andhery Ban Mein Khak Py Tarhapty Reh Gaye Hussain
Haye Hussain Haye Hussain Haye Hussain Haye Hussain
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Hussain Mola Sirat E Mustaqeem
Wallah Kareem Ibne Kareem
Yehi Hai Ishq Ka Sharaf Nahi Badal Saka Hadaf
Aseer Ho Ky Qaafla Chala Jo Shaam Ki Taraf
Sinaan Ki Nok Par Charhy Saron Ka Tha Bayaan Yeh
Dobara Zindagi Mily Nisaar Hai Hussain Py
Yeh Sada Na Ruki Joan O Zeesham Ki Dy Rahy Hain Sada
Sirat E Mustaqeem Ya Hussain
Hai Bahut Azeem Ya Hussain
Hai Ya Hussain Ki Qasam Utha Ky Hath Mein Alam
Pull E Sirat Py Bhi Ham Yehi Kahen Gy Har Qadam
Hussain Mola Sirat E Mustaqeem
Wallah Kareem Ibne Kareem
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain